asa-ba-dast ab nahin hai koi
israel misr jañg meñ colonel nāsir ke na.are
ham beTe fir.aun ke se muta.assir ho kar
yahī vo kohsār haiñ jahāñ
musht-e-ḳhāk nūr-āshnā huī thī
yahī vo zarrāt-e-reg haiñ
jo kisī ke betāb vālihāna qadam
kī Thokar se
kahkashāñ kahkashāñ hue the
yahī vo pathrīlī vādiyāñ haiñ
ki jin kī āġhosh-e-ḳhushk meñ
do dhaḌakte ma.asūm dil mile the
aur aaj har-sū
hai dūd-e-bārūd kī ridā
jis meñ har kiran raushnī kī
mādūm ho ga.ī hai
ujaaḌ sañgīn vādiyoñ meñ
havas kā ifrīt
gosfandān-e-arz-e-madyan ko
khā gayā hai
na koī bint-e-sho.aib hai
aur na rahrav-e-tishna hī hai koī
kueñ ke paas meñ
jauharī zahr ghul gayā hai
tajallī-e-lam-yazal kahāñ kī
ye tez sañgīnoñ kī chamak hai
kalīm hī jab nahīñ hai koī
kalām kaisā
muhīb topoñ kī ye dhamak hai
kisī ke ma.asūm vālihāna qadam kī
ye kahkashāñ nahīñ hai
ye reg-hā-e-zamīn hī haiñ
jo āhanī aslahoñ kī ātish meñ tap ga.e haiñ
savād-e-sāhil
asā-ba-dast ab nahīñ hai koī
to mo.ajiza kyā tilism kaisā
ye sat.h-e-dariyā-e-nīl gul-gū jo ho ga.ī hai
asā kā e.ajāz to nahīñ
ye ridā-e-ḳhūñ hai ridā-e-ḳhūñ hai
ye ḳhuun kis kā hai
ai dil-e-zūd-ranj to kyuuñ udaas hai
ḳhair-o-shar kī ye kashmakash nahīñ hai
ki donoñ jānib hī
āstīn-e-havas meñ
fir.auniyat ke zahrīle azhdahe haiñ
savād-e-sāhil
asā-ba-dast ab nahīñ hai koī
israel misr jang mein colonel nasir ke nare
hum beTe firaun ke se mutassir ho kar
yahi wo kohsar hain jahan
musht-e-KHak nur-ashna hui thi
yahi wo zarraat-e-reg hain
jo kisi ke betab walihana qadam
ki Thokar se
kahkashan kahkashan hue the
yahi wo pathrili wadiyan hain
ki jin ki aaghosh-e-KHushk mein
do dhaDakte masum dil mile the
aur aaj har-su
hai dud-e-barud ki rida
jis mein har kiran raushni ki
madum ho gai hai
ujaD sangin wadiyon mein
hawas ka ifrit
gosfandan-e-arz-e-madyan ko
kha gaya hai
na koi bint-e-shoaib hai
aur na rahraw-e-tishna hi hai koi
kuen ke pas mein
jauhari zahr ghul gaya hai
tajalli-e-lam-yazal kahan ki
ye tez sanginon ki chamak hai
kalim hi jab nahin hai koi
kalam kaisa
muhib topon ki ye dhamak hai
kisi ke masum walihana qadam ki
ye kahkashan nahin hai
ye reg-ha-e-zamin hi hain
jo aahani aslahon ki aatish mein tap gae hain
sawad-e-sahil
asa-ba-dast ab nahin hai koi
to moajiza kya tilism kaisa
ye sath-e-dariya-e-nil gul-gu jo ho gai hai
asa ka eajaz to nahin
ye rida-e-KHun hai rida-e-KHun hai
ye KHun kis ka hai
ai dil-e-zud-ranj to kyun udas hai
KHair-o-shar ki ye kashmakash nahin hai
ki donon jaanib hi
aastin-e-hawas mein
firauniyat ke zahrile azhdahe hain
sawad-e-sahil
asa-ba-dast ab nahin hai koi
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.