usi fitrat mein raushan hain
vo hañsmukh aur hasīñ laḌkī
jo ab tak mujh meñ zinda hai
nahīñ badlī hai vo ab tak
usī fitrat meñ raushan hai
usī hairat meñ zinda hai
guzarte vaqt ke ham-rah
bahut manzar badalte haiñ
huā ke ruḳh badalte haiñ
hamārī zaat ke yuuñ to
sabhī mausam badalte haiñ
nahīñ badlī hai vo ab tak
vo hañsmukh aur hasīñ laḌkī
magar maiñ jāntī kab huuñ
vo mujh meñ mar chukī hai
yā hai vo zinda
wo hansmukh aur hasin laDki
jo ab tak mujh mein zinda hai
nahin badli hai wo ab tak
usi fitrat mein raushan hai
usi hairat mein zinda hai
guzarte waqt ke ham-rah
bahut manzar badalte hain
hua ke ruKH badalte hain
hamari zat ke yun to
sabhi mausam badalte hain
nahin badli hai wo ab tak
wo hansmukh aur hasin laDki
magar main jaanti kab hun
wo mujh mein mar chuki hai
ya hai wo zinda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.