purane coat
hāthī kaan galā hai jis kā
astar udhḌā dāman khiskā
āḳhir tum kyā doge us kā
itne kam silvā.ī de do
pāñch nahīñ to Dhaa.ī de do
fī silvaT nau paa.ī de do
ye lo ghunDī kaise vaalā
aage pīchhe gaḌbaḌ-jhālā
jāhil hai nā hindī kaalā
buDDhā tū kyā soch rahā hai
moñchhoñ ko kyuuñ noch rahā hai
shāyad jaaḌā kuuch rahā hai
aa sardī se pinD kaTā le
koī uunī coat chukā le
us din ko bhagvān uThā le
jis din ye pahnāvā chhoḌūñ
janm ke sāthī se muñh moḌūñ
nā-samjhoñ se kyā sar phoḌūñ
rassī jis tahzīb kī Dhīlī
botal ho jis chaak meñ giilī
sab jaltī hai sūkhī giilī
ye jis kī bhī utran hogī
yā bhañgan yā kanchan hogī
beva bāñjh girahstan hogī
german aurat kā har dāman
jab jhaTkā khaa.e kā kundan
bilkeñge be-gintī jīvan
merī ye khaddar kī pinDī
uun se ūñchī ruuī kī manDī
un coatoñ ko kaalī jhanḌī
hathi kan gala hai jis ka
astar udhDa daman khiska
aaKHir tum kya doge us ka
itne kam silwai de do
panch nahin to Dhai de do
fi silwaT nau pai de do
ye lo ghunDi kaise wala
aage pichhe gaDbaD-jhaala
jahil hai na hindi kala
buDDha tu kya soch raha hai
monchhon ko kyun noch raha hai
shayad jaDa kuch raha hai
aa sardi se pinD kaTa le
koi uni coat chuka le
us din ko bhagwan uTha le
jis din ye pahnawa chhoDun
janm ke sathi se munh moDun
na-samjhon se kya sar phoDun
rassi jis tahzib ki Dhili
botal ho jis chaak mein gili
sab jalti hai sukhi gili
ye jis ki bhi utran hogi
ya bhangan ya kanchan hogi
bewa banjh girahstan hogi
german aurat ka har daman
jab jhaTka khae ka kundan
bilkenge be-ginti jiwan
meri ye khaddar ki pinDi
un se unchi rui ki manDi
un coaton ko kali jhanDi
- Book : Muntakhab Nazmen (Pg. 11)
- Author : idarah adab lateef
- Publication : Maktaba Urdu lahore (1945)
- Edition : 1945
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.