makin hi ajib hain
ye ghar bahut aziim thā
ye ghar bahut hasīn thā
ki us ke ird-gird duur duur tak
koī makān us se baḌh ke thā nahīñ
magar yahāñ kā chakh ajab rivāj thā
the bin-bulā.e ajnabī
ki jin kā ghar pe raaj thā
saje sajā.e kamre un ke shab-kade
vo sabz lawn phuul kī kiyāriyāñ
vasī.a sahn-o-sā.ibāñ
the un ke vāste magar
ḳhud apne ghar meñ ajnabī
makīn chaukhaToñ pe
rāteñ apnī kāTte rahe
saḌak galī kī ḳhaak chhānte rahe
vo bin-bulā.e ajnabī
gadele bistaraoñ pe
lazzat-e-shab-o-sahar meñ mast mast the
usī tarah na jaane kitnī umr kāTne ke ba.ad
rafta rafta
saḳht-o-sard chaukhaToñ ne
narm-o-garm bistaraoñ kī gudgudī
kā zā.iqa samajh liyā
dimāġh-o-dil kī ḳhushk vādiyoñ meñ
aarzū ke ābshār gungunā uThe
siyāh-baḳht raat
shu.ūr ke junūn-e-shauq ke charāġh jal ga.e
charāġh se ka.ī charāġh jal ga.e
ba-yak zabān
chaukhaToñ se ye mutālba huā
ki ajnabī hamāre ghar ko chhoḌ deñ
ye ghar hamāre ḳhuun
aur hamārī haDDiyoñ se hai
ye baat sun ke shab-kade laraz ga.e
thī chauñkne kī baat hī
ki sāl-ḳhūrda andhī chaukhaToñ pe
raushnī kahāñ se aa ga.ī
galī kī ḳhaak
āsmāñ pe abr ban ke chhā ga.ī
kahāñ se zehn-e-nā-rasā meñ
baat aisī aa ga.ī
vo ajnabī
navāzishoñ ināyatoñ se
un kā josh sard jab na kar sake
to nit-na.ī sazāoñ aur dhamkīyoñ
galī galī lahū lahū
saḌak saḌak dhuāñ dhuāñ
magar junūn-e-shauq kī sadā
zamīñ se āsmāñ
sazā.eñ saḳht thiiñ magar
mutālba aziiz thā
navāzisheñ ināyateñ
sazā.eñ aur dhamkiyāñ
sadā-e-haq junūn-e-shauq dāmanoñ kī dhajjiyāñ
muqābla bhī ḳhuub thā
kahāñ zamīn-e-hirs
aur kahāñ junūñ kā āsmāñ
ma.āl-e-kashmakash vahī huā
jo honā chāhiye
vo ajnabī chale ga.e
makīn apne ghar ko pā ke
apne ghar ko pā ke
apne ghar meñ aa ga.e
vo ghar ke jis ke vāste
lagā dī apnī jaan bhī
jo mil gayā to yuuñ huā
ki jaise kuchh nahīñ huā
ajiib mājrā hai ab
junūn-e-ishq ne charāġh-e-ārzū jalā.e the
usī kī tez lau se ye makīn
apne ghar ko shauq se jalā rahe haiñ
sabz lawn meñ kyāriyoñ ke phuul
apne paañv se kuchh rahe haiñ
sā.ebān ke sutūn Dhā rahe haiñ
al-ġharaz
jo aaj ghar kā haal hai
hamāre paas lafz hī nahīñ
ki ham bayāñ kareñ
jo sach kaho to aaj bhī
ye ghar bahut hasīn hai
makīn hī ajiib haiñ
baḌe hī bad-nasīb haiñ
ye ghar bahut azim tha
ye ghar bahut hasin tha
ki us ke ird-gird dur dur tak
koi makan us se baDh ke tha nahin
magar yahan ka chakh ajab riwaj tha
the bin-bulae ajnabi
ki jin ka ghar pe raj tha
saje sajae kamre un ke shab-kade
wo sabz lawn phul ki kiyariyan
wasia sahn-o-saiban
the un ke waste magar
KHud apne ghar mein ajnabi
makin chaukhaTon pe
raaten apni kaTte rahe
saDak gali ki KHak chhante rahe
wo bin-bulae ajnabi
gadele bistaraon pe
lazzat-e-shab-o-sahar mein mast mast the
usi tarah na jaane kitni umr kaTne ke baad
rafta rafta
saKHt-o-sard chaukhaTon ne
narm-o-garm bistaraon ki gudgudi
ka zaiqa samajh liya
dimagh-o-dil ki KHushk wadiyon mein
aarzu ke aabshaar gunguna uThe
siyah-baKHt raat
shuur ke junun-e-shauq ke charagh jal gae
charagh se kai charagh jal gae
ba-yak zaban
chaukhaTon se ye mutalba hua
ki ajnabi hamare ghar ko chhoD den
ye ghar hamare KHun
aur hamari haDDiyon se hai
ye baat sun ke shab-kade laraz gae
thi chaunkne ki baat hi
ki sal-KHurda andhi chaukhaTon pe
raushni kahan se aa gai
gali ki KHak
aasman pe abr ban ke chha gai
kahan se zehn-e-na-rasa mein
baat aisi aa gai
wo ajnabi
nawazishon inayaton se
un ka josh sard jab na kar sake
to nit-nai sazaon aur dhamkiyon
gali gali lahu lahu
saDak saDak dhuan dhuan
magar junun-e-shauq ki sada
zamin se aasman
sazaen saKHt thin magar
mutalba aziz tha
nawazishen inayaten
sazaen aur dhamkiyan
sada-e-haq junun-e-shauq damanon ki dhajjiyan
muqabla bhi KHub tha
kahan zamin-e-hirs
aur kahan junun ka aasman
maal-e-kashmakash wahi hua
jo hona chahiye
wo ajnabi chale gae
makin apne ghar ko pa ke
apne ghar ko pa ke
apne ghar mein aa gae
wo ghar ke jis ke waste
laga di apni jaan bhi
jo mil gaya to yun hua
ki jaise kuchh nahin hua
ajib majra hai ab
junun-e-ishq ne charagh-e-arzu jalae the
usi ki tez lau se ye makin
apne ghar ko shauq se jala rahe hain
sabz lawn mein kyariyon ke phul
apne panw se kuchh rahe hain
saeban ke sutun Dha rahe hain
al-gharaz
jo aaj ghar ka haal hai
hamare pas lafz hi nahin
ki hum bayan karen
jo sach kaho to aaj bhi
ye ghar bahut hasin hai
makin hi ajib hain
baDe hi bad-nasib hain
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.