hifazat
maiñ us cigarette kā TukḌā huuñ
jise tum ne piyā thā apnī ḳhushī ke liye
aur ab apne juute se
masal denā chāhte ho
taaki us kī chiñgārī aag na lagā de
tumhāre lakḌī-numā vajūd ko
mahfūz rahne kī tumhārī ḳhvāhish
tumhāre jazbāt ko sun kar detī hai
kisī dūsre kī taḌap
tum par koī asar nahīñ kartī
cigarette ke bache TukḌe ko
āsānī se pheñk sakte ho
magar is dhueñ kā kyā karoge
jo tumhāre dil meñ bhar gayā hai
main us cigarette ka TukDa hun
jise tum ne piya tha apni KHushi ke liye
aur ab apne jute se
masal dena chahte ho
taki us ki chingari aag na laga de
tumhaare lakDi-numa wajud ko
mahfuz rahne ki tumhaari KHwahish
tumhaare jazbaat ko sun kar deti hai
kisi dusre ki taDap
tum par koi asar nahin karti
cigarette ke bache TukDe ko
aasani se phenk sakte ho
magar is dhuen ka kya karoge
jo tumhaare dil mein bhar gaya hai
- Book : Muhobbat Ke Saaye (Pg. 59)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.