janm-ashTami
vazīr-chand ne pūchhā zafar-alī-ḳhāñ se
shrī-krishn se kyā tum ko bhī irādat hai
kahā ye us ne vo the apne vaqt ke haadī
isī liye adab un kā mirī sa.ādat hai
fasād se unheñ nafrat thī jo hai mujh ko bhī
aur us pe de rahī fitrat mirī shahādat hai
hai is vatan meñ ik aisā giroh bhī maujūd
shrī-krishn kī jo kar rahā ibādat hai
magar fasād hai us kī sarisht meñ dāḳhil
bichāre kyā kareñ paḌ hī chukī ye aadat hai
wazir-chand ne puchha zafar-ali-KHan se
shri-krishn se kya tum ko bhi iradat hai
kaha ye us ne wo the apne waqt ke hadi
isi liye adab un ka meri saadat hai
fasad se unhen nafrat thi jo hai mujh ko bhi
aur us pe de rahi fitrat meri shahadat hai
hai is watan mein ek aisa giroh bhi maujud
shri-krishn ki jo kar raha ibaadat hai
magar fasad hai us ki sarisht mein daKHil
bichaare kya karen paD hi chuki ye aadat hai
- Book : Nigaristan (Pg. 200)
- Author : zafar ali khan
- Publication : zapunited chwok anar kali Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.