ruKHsati
mirī guḌiyā tirī ruḳhsat kā din bhī aa gayā āḳhir
simaT aayā hai āñkhoñ meñ terā biitā huā bachpan
abhī kal kī hī bāteñ haiñ to ik nannhī sī guḌiyā thī
abhī kal hī to baabā se baḌī zid kar ke māñge the
gulābī rañg ke kapḌe vo juute titliyoñ vaale
abhī kal hī to laayā thā maiñ pahlī baar ik chūḌī
jise jab tum ne pahnā to kalā.ī se baḌī niklī
phisal kar haath se tere tujhe ġhussa dilātī thī
abhī kal hī to baabā ko pakaḌne bhejtī thiiñ tum
kabhī uḌtī huī chiḌiyā kabhī taare kabhī chandā
aur ab aisā hai ki vaqt-e-judā.ī sar pe aayā hai
tirī bārāt le kar aa gayā hai terā shahzāda
ba-zāhir ḳhush khaḌā huuñ maiñ magar TuuTā hai dil merā
bajī hai jab se shahnā.ī taḌ uTThā hai dil merā
mire āñgan meñ Thahreñgī tirī yādeñ tirī bāteñ
chalī jā.egī tere saath hī raunaq mire ghar kī
ye mere saath chhup chhup kar hazāroñ baar ro.eñge
tirī ruḳhsat pe ai beTī dar-o-dīvār ro.eñge
meri guDiya teri ruKHsat ka din bhi aa gaya aaKHir
simaT aaya hai aankhon mein tera bita hua bachpan
abhi kal ki hi baaten hain to ek nannhi si guDiya thi
abhi kal hi to baba se baDi zid kar ke mange the
gulabi rang ke kapDe wo jute titliyon wale
abhi kal hi to laya tha main pahli bar ek chuDi
jise jab tum ne pahna to kalai se baDi nikli
phisal kar hath se tere tujhe ghussa dilati thi
abhi kal hi to baba ko pakaDne bhejti thin tum
kabhi uDti hui chiDiya kabhi tare kabhi chanda
aur ab aisa hai ki waqt-e-judai sar pe aaya hai
teri baraat le kar aa gaya hai tera shahzada
ba-zahir KHush khaDa hun main magar TuTa hai dil mera
baji hai jab se shahnai taD uTTha hai dil mera
mere aangan mein Thahrengi teri yaaden teri baaten
chali jaegi tere sath hi raunaq mere ghar ki
ye mere sath chhup chhup kar hazaron bar roenge
teri ruKHsat pe ai beTi dar-o-diwar roenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.