wo jis ka intizar tha
vo jis kā intizār thā
shafaq ko
bādaloñ ko
rahguzar ko ābshār ko
ḳhizāñ kī pattiyoñ ko
chāñdnī ko
dhuup ko bahār ko
vo jis kī aarzū thī
sā.atoñ ko
ḳhāmushī ko
zehn ko ḳhayāl ko
tasavvur-e-muhāl ko
khanaktī pyāliyoñ ko
kursiyoñ ko
jām-e-mai ko sham-e-nā-tamām ko
dopahar ko shaam ko
vo jis kī āhaTeñ
samā.atoñ ke kunj meñ nihāñ thiiñ
jis kā aks
jalva-rez thā
basāratoñ kī jhiil meñ
vo kyā faqat sabā kā surmagīñ ḳhirām thā
ki shāḳh-e-gul kā sāya-e-ḳhafīf thā
ki mauj-e-āb par kiran kā irti.āsh thā
jo ek pal meñ sāmne se yuuñ guzar gayā
ki vo sabhī jo muntazir the
aañkh milte rah ga.e
magar vo is tarah guzar gayā
ki yak-ba-yak
vo intizār kī bisāt hī ulaT ga.ī
vo khel ḳhatm ho gayā
aur us ke ba.ad
āsmān se zamīñ
zamīñ se āsmāñ tak
ḳhalā ḳhalā ḳhalā ḳhalā
wo jis ka intizar tha
shafaq ko
baadalon ko
rahguzar ko aabshaar ko
KHizan ki pattiyon ko
chandni ko
dhup ko bahaar ko
wo jis ki aarzu thi
saaton ko
KHamushi ko
zehn ko KHayal ko
tasawwur-e-muhaal ko
khanakti pyaliyon ko
kursiyon ko
jam-e-mai ko sham-e-na-tamam ko
dopahar ko sham ko
wo jis ki aahaTen
samaaton ke kunj mein nihan thin
jis ka aks
jalwa-rez tha
basaraton ki jhil mein
wo kya faqat saba ka surmagin KHiram tha
ki shaKH-e-gul ka saya-e-KHafif tha
ki mauj-e-ab par kiran ka irtiash tha
jo ek pal mein samne se yun guzar gaya
ki wo sabhi jo muntazir the
aankh milte rah gae
magar wo is tarah guzar gaya
ki yak-ba-yak
wo intizar ki bisat hi ulaT gai
wo khel KHatm ho gaya
aur us ke baad
aasman se zamin
zamin se aasman tak
KHala KHala KHala KHala
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 499)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.