mid-wife
aane vaale
nanhe munne
sab ḳhvāboñ se kahtī hai vo
aa jaao
aur aa kar dekho
kitne log tumhārī ḳhātir
jaane kab se jaag rahe haiñ
par jab aane vaale us ke
naram mulā.em resham aise
hāthoñ kī poroñ se chimTe
aa jaate haiñ
vo tan kar kahtī hai dekho
maiñ ne tum ko janm diyā hai
maañ kah kar
tum mujhe pukāro
aur vo us ke
resham aise hāthoñ meñ rone lagte haiñ
bichhḌī maañ kī
duudh bharī chhātī kī ḳhātir
ik kohrām bapā karte haiñ
lekin vo suntī hī kahāñ hai
apne banjar siine se chimTā kar un ko
puure zor se chīḳhtī hai
tum mere ho
tum mere ho
aane wale
nanhe munne
sab KHwabon se kahti hai wo
aa jao
aur aa kar dekho
kitne log tumhaari KHatir
jaane kab se jag rahe hain
par jab aane wale us ke
naram mulaem resham aise
hathon ki poron se chimTe
aa jate hain
wo tan kar kahti hai dekho
main ne tum ko janm diya hai
man kah kar
tum mujhe pukaro
aur wo us ke
resham aise hathon mein rone lagte hain
bichhDi man ki
dudh bhari chhati ki KHatir
ek kohram bapa karte hain
lekin wo sunti hi kahan hai
apne banjar sine se chimTa kar un ko
pure zor se chiKHti hai
tum mere ho
tum mere ho
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 255)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.