mukalima zaid se
ek shā.ir
aur ziyāda shā.ir hone meñ
kyā farq hai
koī farq nahīñ
bas yahī kaafī hai
ki aap shā.ir haiñ
phir bhī maiñ is sūrat-e-hāl ko
vāzeh taur par samajhnā chāhtā huuñ
lekin ham ye zarūrī nahīñ samajhte
hamāre liye to shā.ir
ziyāda shā.ir yā bahut zyāda shā.ir honā
ek hī baat hai
us kā matlab to ye huā
ki sirf shā.ir honā
aap ke liye
koī ahmiyat hī nahīñ rakhtā
shāyad aisā hī ho
lekin aap nārāz na hoñ
agar shā.ir haiñ tab bhī
hamāre liye
shā.ir honā yā na honā
sab barābar hai
hameñ to ye bhī nahīñ ma.alūm
ki shā.ir aur police vaale meñ se
kaun ziyāda hassās hai
jis shahr meñ shā.iroñ kī ābādī
fī-murabba kilometer sab se ziyāda ho
vahāñ police vaale
shā.iroñ se ziyāda hassās ho sakte haiñ
aur phir
police vāloñ kī jaan ko ḳhatra bhī ziyāda hai
shā.ir to sirf
apne ḳhvāboñ hī ko rote rahte haiñ
unheñ kisī baat kī parvā nahīñ
magar aap ye sab kuchh kyuuñ pūchh rahe haiñ
kaun haiñ aap
kyā karte haiñ
kahāñ rahte haiñ
maiñ ḳhvāb dekhtā huuñ
aur unhīñ meñ rahtā huuñ
fī-murabba kilometer
police vāloñ se ziyāda
shā.iroñ kī ābādī vaale
zila-e-sat.hī kī hudūd meñ
ek shair
aur ziyaada shair hone mein
kya farq hai
koi farq nahin
bas yahi kafi hai
ki aap shair hain
phir bhi main is surat-e-haal ko
wazeh taur par samajhna chahta hun
lekin hum ye zaruri nahin samajhte
hamare liye to shair
ziyaada shair ya bahut zyaada shair hona
ek hi baat hai
us ka matlab to ye hua
ki sirf shair hona
aap ke liye
koi ahmiyat hi nahin rakhta
shayad aisa hi ho
lekin aap naraaz na hon
agar shair hain tab bhi
hamare liye
shair hona ya na hona
sab barabar hai
hamein to ye bhi nahin malum
ki shair aur police wale mein se
kaun ziyaada hassas hai
jis shahr mein shairon ki aabaadi
fi-murabba kilometer sab se ziyaada ho
wahan police wale
shairon se ziyaada hassas ho sakte hain
aur phir
police walon ki jaan ko KHatra bhi ziyaada hai
shair to sirf
apne KHwabon hi ko rote rahte hain
unhen kisi baat ki parwa nahin
magar aap ye sab kuchh kyun puchh rahe hain
kaun hain aap
kya karte hain
kahan rahte hain
main KHwab dekhta hun
aur unhin mein rahta hun
fi-murabba kilometer
police walon se ziyaada
shairon ki aabaadi wale
zila-e-sathi ki hudud mein
- Book : saarii nazmen (Pg. 444)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.