2 qahqaha
ajab raat hai hadd-e-nigāh tak har-sū
athāh zahar bharī chāñdnī kī jhiil sī hai
varā-e-madd-e-nazar kohar hai taḳhayyul kī
varā-e-hadd-e-taḳhayyul siyah fasīl sī hai
samāñ hai hū kā saḌak hai saḌak ke dono taraf
qatār tā-ba-ufuq hai ghane daraḳhtoñ kī
havā sanaktī hai to chauñk chauñk paḌtī haiñ
har ek peḌ meñ rūheñ sī tīra-baḳhtoñ kī
kuchh aise ghuur ke bas gholte haiñ sannāTe
havā ke zor se jab Tahniyāñ ulajhtī haiñ
dhueñ se reñgte haiñ tah-ba-tah ḳhayāloñ meñ
sukūt chīḳhtā hai sīTiyāñ sī bajtī haiñ
nazar uThātā huuñ to zāviye nigāhoñ meñ
uThā ke dhuul sarāboñ kī jhoñk dete haiñ
qadam baḌhātā huuñ to azhdahe hayūloñ ke
phanoñ ke tiir kaf-e-pā meñ Thoñk dete haiñ
jo saañs letā huuñ to saañs saañs kī lau par
tafakkurāt kī āñdhī sī chalne lagtī hai
jo sochtā huuñ to ehsās ke mahlakoñ tak
siyāhiyoñ kī ġhalāzat uchhalne lagtī hai
dil-o-nigāh pe kitnī muhīb tezī se
kuchh uljhanoñ ke siyah-nāg reñg aa.e haiñ
qadam qadam pe hai kitnī amīq-e-fikr kī lau
qadam qadam pe mirī rah meñ kitne saa.e haiñ
matā-e-zīst marī laakh hech-māyā sahī
magar sitāre falak ke na jaane kyuuñ yūñhī
udaas udaas nigāhoñ se mujh ko takte haiñ
bhalā ye saa.e mirī raah rok sakte haiñ
ajab raat hai hadd-e-nigah tak har-su
athah zahar bhari chandni ki jhil si hai
wara-e-madd-e-nazar kohar hai taKHayyul ki
wara-e-hadd-e-taKHayyul siyah fasil si hai
saman hai hu ka saDak hai saDak ke dono taraf
qatar ta-ba-ufuq hai ghane daraKHton ki
hawa sanakti hai to chaunk chaunk paDti hain
har ek peD mein ruhen si tira-baKHton ki
kuchh aise ghur ke bas gholte hain sannaTe
hawa ke zor se jab Tahniyan ulajhti hain
dhuen se rengte hain tah-ba-tah KHayalon mein
sukut chiKHta hai siTiyan si bajti hain
nazar uThata hun to zawiye nigahon mein
uTha ke dhul sarabon ki jhonk dete hain
qadam baDhata hun to azhdahe hayulon ke
phanon ke tir kaf-e-pa mein Thonk dete hain
jo sans leta hun to sans sans ki lau par
tafakkuraat ki aandhi si chalne lagti hai
jo sochta hun to ehsas ke mahlakon tak
siyahiyon ki ghalazat uchhalne lagti hai
dil-o-nigah pe kitni muhib tezi se
kuchh uljhanon ke siyah-nag reng aae hain
qadam qadam pe hai kitni amiq-e-fikr ki lau
qadam qadam pe meri rah mein kitne sae hain
mata-e-zist mari lakh hech-maya sahi
magar sitare falak ke na jaane kyun yunhi
udas udas nigahon se mujh ko takte hain
bhala ye sae meri rah rok sakte hain
- Book : auraq-shumara-number-02 (Pg. 81)
- Author : Wazeer Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore (July-1968 Issu,02)
- Edition : July-1968 Issu,02
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.