ye da.avā hai
jahāñ meñ chand logoñ kā
ki ham ne zindagī ko jiit rakkhā hai
hamāre paas ya.anī atomī hathiyār haiñ itne
hamārā dost nanhā alien bhī hai
karoḌoñ saal kī tārīḳh ko ab jānte haiñ ham
ki ham ne maut par ab fat.h pā lī hai
planet mars par paanī bhī DhūñDā hai
ye sab kahte hue aksar
vo shāyad bhuul jaate haiñ
abhī ik chiiz baaqī hai ki jo un-mapped hai ab tak
jise ham zehn kahte haiñ
hamāre science-dānoñ ne bhī maanā hai
ki ab tak kuchh hī hissa zehn kā
ham jaan paa.e haiñ
bahut kuchh hai jise ab bhī hameñ D-code karnā hai
maiñ aksar sochtā huuñ
soch kar hairān hotā huuñ
faqat kuchh gram ke is zehn se ye saarī halchal hai
sitāre chāñd sūraj titliyāñ jugnū bharī rāteñ
ye saara art aur us art par tanqīd jo kuchh hai
kitāboñ se bharī har library
aur insānoñ ke dil meñ baḌh rahī duurī
kahīñ nārāzgī āñkhoñ meñ bhar kar ḳhud meñ hī ghuTnā
kahīñ par bhuuk bīmārī yā politics kī power
ye fb aur twitter par jo jaarī haiñ sabhī bahseñ
aur instagram par har pal kī tasvīreñ
ye duniyā-bhar kī filmeñ aur festival
ye mere sāmne baiThe hue phūloñ se nāzuk log
mire hoñThoñ se ek ik nazm kā yuuñ TūTte rahnā
faqat kuchh gram ke is zehn se hī saarī halchal hai
nigāheñ moḌ kar ye dekhnā merā
tumhārā muskurānā bhī
falak ko dekh kar yuuñ ruuTh jaanā bhī
ki apnī zindagī meñ raushnī ke naam par
kuchh bhī nahīñ hai
aur ye kyā khel hai
jis meñ mahz māteñ hī māteñ haiñ
mahz ghāteñ hī ghāteñ haiñ
magar ye dukh jo ham ko rāt-din mahsūs hotā hai
hamāre zehn se uThtā dhuāñ hai bas
agar ham ġhaur se dekheñ to Dheroñ raaz khulte haiñ
ki maiñ tum se agar kahtā huuñ
tum se ishq kartā huuñ
to ye sun kar tumhārī saañs kī lai tez chaltī hai
yahī anfās kā parda
jo uThtā hai
jo girtā hai
isī anfās ke parde ke pīchhe se
hamārā zehn sab kuchh dekhtā hai
sochtā hai baat kartā hai
sadī se band darvāzoñ ke pīchhe se
koī āvāz aatī hai
hameñ lagtā hai ye sab kuchh hamīñ to kar rahe haiñ
par haqīqat aur hī kuchh hai
hameñ ma.alūm karnā hai
ki jalte zehn ke jañgal kā raaja kaun hai āḳhir
hameñ ma.alūm karnā hai
hamāre zehn meñ chhup kar ishāre kaun kartā hai
ye kis ke hukm par ham roz marte aur jiite haiñ
ye kis ke vāste ham zindagī kā zahr piite haiñ
ye dawa hai
jahan mein chand logon ka
ki hum ne zindagi ko jit rakkha hai
hamare pas yani atomi hathiyar hain itne
hamara dost nanha alien bhi hai
karoDon sal ki tariKH ko ab jaante hain hum
ki hum ne maut par ab fath pa li hai
planet mars par pani bhi DhunDa hai
ye sab kahte hue aksar
wo shayad bhul jate hain
abhi ek chiz baqi hai ki jo un-mapped hai ab tak
jise hum zehn kahte hain
hamare science-danon ne bhi mana hai
ki ab tak kuchh hi hissa zehn ka
hum jaan pae hain
bahut kuchh hai jise ab bhi hamein D-code karna hai
main aksar sochta hun
soch kar hairan hota hun
faqat kuchh gram ke is zehn se ye sari halchal hai
sitare chand suraj titliyan jugnu bhari raaten
ye sara art aur us art par tanqid jo kuchh hai
kitabon se bhari har library
aur insanon ke dil mein baDh rahi duri
kahin naraazgi aankhon mein bhar kar KHud mein hi ghuTna
kahin par bhuk bimari ya politics ki power
ye fb aur twitter par jo jari hain sabhi bahsen
aur instagram par har pal ki taswiren
ye duniya-bhar ki filmen aur festiwal
ye mere samne baiThe hue phulon se nazuk log
mere honThon se ek ek nazm ka yun TuTte rahna
faqat kuchh gram ke is zehn se hi sari halchal hai
nigahen moD kar ye dekhna mera
tumhaara muskurana bhi
falak ko dekh kar yun ruTh jaana bhi
ki apni zindagi mein raushni ke nam par
kuchh bhi nahin hai
aur ye kya khel hai
jis mein mahz maten hi maten hain
mahz ghaten hi ghaten hain
magar ye dukh jo hum ko raat-din mahsus hota hai
hamare zehn se uThta dhuan hai bas
agar hum ghaur se dekhen to Dheron raaz khulte hain
ki main tum se agar kahta hun
tum se ishq karta hun
to ye sun kar tumhaari sans ki lai tez chalti hai
yahi anfas ka parda
jo uThta hai
jo girta hai
isi anfas ke parde ke pichhe se
hamara zehn sab kuchh dekhta hai
sochta hai baat karta hai
sadi se band darwazon ke pichhe se
koi aawaz aati hai
hamein lagta hai ye sab kuchh hamin to kar rahe hain
par haqiqat aur hi kuchh hai
hamein malum karna hai
ki jalte zehn ke jangal ka raja kaun hai aaKHir
hamein malum karna hai
hamare zehn mein chhup kar ishaare kaun karta hai
ye kis ke hukm par hum roz marte aur jite hain
ye kis ke waste hum zindagi ka zahr pite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.