dahshat-gard banate ho
bīnā.ī bhī apnī merī
ḳhvāb bhī mere apne haiñ
bīnā.ī bhī sachchī merī
ḳhvāb bhī mere sachche haiñ
in donoñ kī lazzat sachchī
aur aziyyat bhī sachchī
mujh ko ye ma.alūm to hai ki
tum mere aur mujh jaise
lākhoñ logoñ ke ḳhvāboñ se nafrat karte rahte ho
aur us kī ta.abīr ke badle
bhuuk iflās ġharībī aur mahrūmī
ke darvāze vā karte hī rahte ho
aur un darvāzoñ ke zarīye
bīmār ujāle
nasloñ tak phailāte ho
dahshat-gard banāte ho
lekin tum ne kab sochā hai
jaltī aur dahaktī rāteñ
vaqt kā chaltā pahiya yaksar
aam nahīñ kar saktī haiñ
merī āñkhoñ kī bīnā.ī
mere ḳhvāboñ kī sachchā.ī
mujh se chhīn nahīñ saktī
phir bhī sun lo
azm hai apnā
jab tak āñkhoñ kī bīnā.ī
jab tak apne ḳhvāb salāmat
tez nazar nā-bīnāoñ ko
apne ḳhvāb nahīñ becheñge
chāhe kuchh ho
chāhe dhyān gañvā deñ apnā
chāhe apnī jaan bhī jaa.e
binai bhi apni meri
KHwab bhi mere apne hain
binai bhi sachchi meri
KHwab bhi mere sachche hain
in donon ki lazzat sachchi
aur aziyyat bhi sachchi
mujh ko ye malum to hai ki
tum mere aur mujh jaise
lakhon logon ke KHwabon se nafrat karte rahte ho
aur us ki tabir ke badle
bhuk iflas gharibi aur mahrumi
ke darwaze wa karte hi rahte ho
aur un darwazon ke zariye
bimar ujale
naslon tak phailate ho
dahshat-gard banate ho
lekin tum ne kab socha hai
jalti aur dahakti raaten
waqt ka chalta pahiya yaksar
aam nahin kar sakti hain
meri aankhon ki binai
mere KHwabon ki sachchai
mujh se chhin nahin sakti
phir bhi sun lo
azm hai apna
jab tak aankhon ki binai
jab tak apne KHwab salamat
tez nazar na-binaon ko
apne KHwab nahin bechenge
chahe kuchh ho
chahe dhyan ganwa den apna
chahe apni jaan bhi jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.