sharmili KHamoshi
shaam kī sharmīlī chup ko
ruuh meñ mahsūs karte
kaam meñ masrūf haiñ ham dopahar se
dil kī āñkheñ dekhtī haiñ gahrī gahrī sabz shāḳhoñ ko
jo baiThī haiñ ḳhamoshī se
kiye ḳham gardaneñ apnī
kisī dulhan kī sūrat
sar pe oḌhe āsmāñ kī surma.ī chunarī
sitāre jis meñ Tāñke jā rahe haiñ
ham apne is tasavvur par ḳhud hī muskā rahe haiñ
sham ki sharmili chup ko
ruh mein mahsus karte
kaam mein masruf hain hum dopahar se
dil ki aankhen dekhti hain gahri gahri sabz shaKHon ko
jo baiThi hain KHamoshi se
kiye KHam gardanen apni
kisi dulhan ki surat
sar pe oDhe aasman ki surmai chunari
sitare jis mein Tanke ja rahe hain
hum apne is tasawwur par KHud hi muska rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.