aarzu-e-hayat
ai ārzū-e-hayāt
ab kī baar jaan bhī chhoḌ
tujhe ḳhabar hī nahīñ kaise din guzarte haiñ
ai ārzū-e-nafas
ab muaaf kar mujh ko
tujhe ye ilm nahīñ kitnī mahñgī haiñ sāñseñ
ki tū to lafz hai
bas ek lafz adh-murda
tire ḳhamīr kī miTTī kā rañg laal gulāl
sulagtī aag ne tujh ko janā hai aur tū ḳhud
ik aisī bāñjh hai jis se koī ummīd nahīñ
tū aisā zahr hai jo pī ke koī bhī insāñ
ḳhud apne aap ko koī ḳhudā samajhtā hai
tū ik shajar hai jo bas dhuup bāñTtā hī rahe
tū ik safar hai jo sadiyoñ se baḌhtā jaatā hai
tū aisā dam hai jo murdoñ ko zinda kartā hai
tū vo karam hai jo har ik karīm māñgtā hai
tū vo talab hai jise ḳhud ḳhudā bhī pūjte haiñ
tū vo tarab hai jise ḳhud ḳhushī bhī māñgtī hai
tū mujh ko jitne bhī ab shoḳh rañg dikhlā.e
tū chāhe zindagī ko mere paas le aa.e
vaqār ab tire qadmoñ meñ girne vaalā nahīñ
ai ārzū-e-hayāt
ab maiñ pahle vaalā nahīñ
ai aarzu-e-hayat
ab ki bar jaan bhi chhoD
tujhe KHabar hi nahin kaise din guzarte hain
ai aarzu-e-nafas
ab muaf kar mujh ko
tujhe ye ilm nahin kitni mahngi hain sansen
ki tu to lafz hai
bas ek lafz adh-murda
tere KHamir ki miTTi ka rang lal gulal
sulagti aag ne tujh ko jana hai aur tu KHud
ek aisi banjh hai jis se koi ummid nahin
tu aisa zahr hai jo pi ke koi bhi insan
KHud apne aap ko koi KHuda samajhta hai
tu ek shajar hai jo bas dhup banTta hi rahe
tu ek safar hai jo sadiyon se baDhta jata hai
tu aisa dam hai jo murdon ko zinda karta hai
tu wo karam hai jo har ek karim mangta hai
tu wo talab hai jise KHud KHuda bhi pujte hain
tu wo tarab hai jise KHud KHushi bhi mangti hai
tu mujh ko jitne bhi ab shoKH rang dikhlae
tu chahe zindagi ko mere pas le aae
waqar ab tere qadmon mein girne wala nahin
ai aarzu-e-hayat
ab main pahle wala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.