sorry gentleman
raushnī merā mas.ala hai
tārīkī tumhārā mas.ala hai
ġhurbat merā virsa hai
daulat tumhārā tarka hai
tum bahut sī chīzeñ ḳharīd sakte ho
maiñ
kuchh chīzeñ faroḳht nahīñ kar saktā
maiñ
bol saktā huuñ
tum
sun nahīñ sakte
tum
mohabbat nahīñ kar sakte
maiñ
nafrat nahīñ kar saktā
tum
ro nahīñ sakte
maiñ hañs nahīñ saktā
oh
tum to dekh bhī nahīñ sakte
raushni mera masala hai
tariki tumhaara masala hai
ghurbat mera wirsa hai
daulat tumhaara tarka hai
tum bahut si chizen KHarid sakte ho
main
kuchh chizen faroKHt nahin kar sakta
main
bol sakta hun
tum
sun nahin sakte
tum
mohabbat nahin kar sakte
main
nafrat nahin kar sakta
tum
ro nahin sakte
main hans nahin sakta
oh
tum to dekh bhi nahin sakte
- Book : Duniyazad (Pg. 166)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.