a-k-shaiKH ke peT ka kutta
raat bhar kuttā us ke peT meñ bhauñk rahā thā
kaisī kaisī āvāzeñ thiiñ
bhauñ bhauñ bhauñ bhauñ
vuuñ vuuñ vuuñ vuuñ
saarā kamra us kī pāgal āvāzoñ se
vuuñ vuuñ kartā haañp rahā thā
gaz-bhar lambī surḳh zabāñ bhī
us ke halq se nikal rahī thī
rāleñ muñh se Tapak rahī thiiñ
hilte kaan aur hiltī dum se
kuttā bhauñ bhauñ bhauñ bhauñ kartā
us ke peT meñ bhauñk rahā thā
vo soyā thā gahrī niiñd meñ
kuttā sūñgh ke gosht kī ḳhushbū
ḳhvāb se yak-dam jaag uThā thā
din niklā thā
a-k-shaiḳh ab bhūre suiT ke andar band thā
zar kī mehrāboñ ke nīche
lamha lamha dauḌ rahā thā
us ke bātin aur ḳhārij meñ
zard jahannam garm huā thā
raat aa.ī hai a-k-shaiḳh ab ghar aayā hai
kuttā us ke peT meñ phir se bhauñk paḌegā
raat bhar us ke TūTte jism pe
kuttā apnī dum ko hilātā
is kone se us kone tak
bhauñk bhauñk kar ġhurrā.egā
muñh se rāleñ Tapkā.egā
kuttā sūñgh ke gosht kī ḳhushbū
jism kī dīvāroñ ke uupar
dauḌ dauḌ ke thak jā.egā so jā.egā
din niklā hai
a-k-shaiḳh ab niile suiT ke andar band hai
a-k-shaiḳh ab kār-gahoñ kī chhat ke nīche
puure zor se chīḳh rahā hai
a-k-shaiḳh ke puure jism pe
zard jahannam phail rahā hai
zar kī mehrāboñ ke nīche
kaj-bātin aur pāgal kuttā dauḌ rahā hai
raat bhar kutta us ke peT mein bhaunk raha tha
kaisi kaisi aawazen thin
bhaun bhaun bhaun bhaun
wun wun wun wun
sara kamra us ki pagal aawazon se
wun wun karta hanp raha tha
gaz-bhar lambi surKH zaban bhi
us ke halq se nikal rahi thi
ralen munh se Tapak rahi thin
hilte kan aur hilti dum se
kutta bhaun bhaun bhaun bhaun karta
us ke peT mein bhaunk raha tha
wo soya tha gahri nind mein
kutta sungh ke gosht ki KHushbu
KHwab se yak-dam jag uTha tha
din nikla tha
a-k-shaiKH ab bhure suiT ke andar band tha
zar ki mehrabon ke niche
lamha lamha dauD raha tha
us ke baatin aur KHarij mein
zard jahannam garm hua tha
raat aai hai a-k-shaiKH ab ghar aaya hai
kutta us ke peT mein phir se bhaunk paDega
raat bhar us ke TuTte jism pe
kutta apni dum ko hilata
is kone se us kone tak
bhaunk bhaunk kar ghurraega
munh se ralen Tapkaega
kutta sungh ke gosht ki KHushbu
jism ki diwaron ke upar
dauD dauD ke thak jaega so jaega
din nikla hai
a-k-shaiKH ab nile suiT ke andar band hai
a-k-shaiKH ab kar-gahon ki chhat ke niche
pure zor se chiKH raha hai
a-k-shaiKH ke pure jism pe
zard jahannam phail raha hai
zar ki mehrabon ke niche
kaj-baatin aur pagal kutta dauD raha hai
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 508)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.