qabih lamhon ka devta
abhī faqat tiin hī baje haiñ
abhī to us kī ragoñ kī kuchh aur raushnā.ī
tanī huī mez par paḌe
filoñ ke kāġhaz meñ jazb hogī
zarūrateñ
us ke reg-zār-e-hayāt ke
nanhe nanhe paudoñ kī ābiyārī
kisī ke nāzuk udaas hoñToñ pe
muskurāhaT kī lāla-kārī
gudāz bāñhoñ ke narm halqe meñ
garm sāñsoñ kī shab-guzārī
zarūratoñ kā vo ik pujārī
jo apne saare lahū ke ġhunche
masāfat āftāb ke
das se pāñch tak ke
qabīh lamhoñ ke devtā ke qadam pe
qurbān kar rahā hai
vo devtā
jis ne sāl-hā-sāl kī riyāzat
aur us ke ilm-o-salāhiyat ke gavāh
in degrēyoñ ke alfāz ko
jo is se libās-e-mafhūm chāhte the
barahnagī dī
zarūrateñ
is kī nanhe paudoñ
udaas hoñToñ
gudāz bāñhoñ kī roz kī haiñ
zarūratoñ kā vo ik pujārī
lahū ke ġhunchoñ kā ye chaḌhāvā to roz kā hai
abhī faqat tiin hī baje haiñ
abhi faqat tin hi baje hain
abhi to us ki ragon ki kuchh aur raushnai
tani hui mez par paDe
filon ke kaghaz mein jazb hogi
zaruraten
us ke reg-zar-e-hayat ke
nanhe nanhe paudon ki aabiyari
kisi ke nazuk udas honTon pe
muskurahaT ki lala-kari
gudaz banhon ke narm halqe mein
garm sanson ki shab-guzari
zaruraton ka wo ek pujari
jo apne sare lahu ke ghunche
masafat aaftab ke
das se panch tak ke
qabih lamhon ke dewta ke qadam pe
qurban kar raha hai
wo dewta
jis ne sal-ha-sal ki riyazat
aur us ke ilm-o-salahiyat ke gawah
in degreeyon ke alfaz ko
jo is se libas-e-mafhum chahte the
barahnagi di
zaruraten
is ki nanhe paudon
udas honTon
gudaz banhon ki roz ki hain
zaruraton ka wo ek pujari
lahu ke ghunchon ka ye chaDhawa to roz ka hai
abhi faqat tin hi baje hain
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.