gūñjte garajte hue rāste par ek aurat
ghar kī qaid se bhāgī huī aurat
gard se aTī huī
thakī huī aur Dagmagātī huī
udaas aur pareshān
duniyā ke ajnabī aur be-rahm rāste par
ek aurat
maazī se nālāñ aur bezār
mustaqbil se be-ḳhabar
haal ke jañgal meñ akelī
ek aurat
har taraf logoñ ke hujūm
har taraf shor hī shor
lekin us ke andar ḳhāmoshī hai
gūñjtā garajtā huā sannāTā
vo aurat kahāñ jā.egī
kyā vo Dar jā.egī
gunjte garajte hue raste par ek aurat
ghar ki qaid se bhagi hui aurat
gard se aTi hui
thaki hui aur Dagmagati hui
udas aur pareshan
duniya ke ajnabi aur be-rahm raste par
ek aurat
mazi se nalan aur bezar
mustaqbil se be-KHabar
haal ke jangal mein akeli
ek aurat
har taraf logon ke hujum
har taraf shor hi shor
lekin us ke andar KHamoshi hai
gunjta garajta hua sannaTa
wo aurat kahan jaegi
kya wo Dar jaegi
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.