aa ja ri chiDiya
aa jā rī chiḌiyā
aa jā rī chiḌiyā
muñDer par kyoñ
kartī hai chuuñ chuuñ
aa jā tujhe maiñ
daana ḳhilā.uñ
roTī ke bhūre
chhat par bikherūñ
le apnā khājā
khā jā rī chiḌiyā
sun le rī chiḌiyā
sun le rī chiḌiyā
kyā nanhe nanhe
bachche haiñ tere
karte haiñ chiiñ chiiñ
itne savere
le maiñ ne gehūñ
chhat par bikhere
ye daane dunke
chun le rī chiḌiyā
sun le rī chiḌiyā
sun le rī chiḌiyā
aa pyārī chiḌiyā
aa pyārī chiḌiyā
uḌ-uḌ ke aanā
muḌ muḌ ke jaanā
bachchoñ ko apne
daana khilānā
lagtā hai jī ko
kaisā suhānā
kyā pyārā pyārā
hai terā gaanā
gā ḳhuub din bhar
gā pyārī chiḌiyā
aa pyārī chiḌiyā
aa pyārī chiḌiyā
uḌ jā rī chiḌiyā
uḌ jā rī chiḌiyā
vo maano billī
baiThī hai dubkī
tujh ko pakaḌ kar
bas khā hī legī
miTTī ke uupar
jā baiTh ūñchī
nīche na aanā
muḌ jā rī chiḌiyā
uḌ jā rī chiḌiyā
uḌ jā rī chiḌiyā
aa ja ri chiDiya
aa ja ri chiDiya
munDer par kyon
karti hai chun chun
aa ja tujhe main
dana KHilaun
roTi ke bhure
chhat par bikherun
le apna khaja
kha ja ri chiDiya
sun le ri chiDiya
sun le ri chiDiya
kya nanhe nanhe
bachche hain tere
karte hain chin chin
itne sawere
le main ne gehun
chhat par bikhere
ye dane dunke
chun le ri chiDiya
sun le ri chiDiya
sun le ri chiDiya
aa pyari chiDiya
aa pyari chiDiya
uD-uD ke aana
muD muD ke jaana
bachchon ko apne
dana khilana
lagta hai ji ko
kaisa suhana
kya pyara pyara
hai tera gana
ga KHub din bhar
ga pyari chiDiya
aa pyari chiDiya
aa pyari chiDiya
uD ja ri chiDiya
uD ja ri chiDiya
wo mano billi
baiThi hai dubki
tujh ko pakaD kar
bas kha hi legi
miTTi ke upar
ja baiTh unchi
niche na aana
muD ja ri chiDiya
uD ja ri chiDiya
uD ja ri chiDiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.