aa jao
aa jaao paanī ke ghire taal meñ patthar saaf nazar aate haiñ
khiḌkī ke pīchhe chehroñ meñ siisa bhartā jaatā hai
raat akelī āñgan āñgan apne rassī pheñktī hai
ūñchī havelī ke dālān se pakke ber uThā kar
tere ḳhāl-o-ḳhat kā bosa letā huuñ
aur havā kī dhuup milī chādar ke nīche so jaatā huuñ
jaltā jism pahāḌ se din aur lohe kī bāDoñ meñ jhulse khet
mankā mankā aañsū girne ko haiñ
chiḌiyāñ ḳhvāboñ ke juzdāñ meñ varaq ulaTtī haiñ
phuul badan kī Tahnī par se TuuT ke girte jaate haiñ
aa jaao ThanDā paanī sharbat ban kar bilak rahā hai
jism buḳhār se piilā phuul banā hai
aa jao pani ke ghire tal mein patthar saf nazar aate hain
khiDki ke pichhe chehron mein sisa bharta jata hai
raat akeli aangan aangan apne rassi phenkti hai
unchi haweli ke dalan se pakke ber uTha kar
tere KHal-o-KHat ka bosa leta hun
aur hawa ki dhup mili chadar ke niche so jata hun
jalta jism pahaD se din aur lohe ki baDon mein jhulse khet
manka manka aansu girne ko hain
chiDiyan KHwabon ke juzdan mein waraq ulaTti hain
phul badan ki Tahni par se TuT ke girte jate hain
aa jao ThanDa pani sharbat ban kar bilak raha hai
jism buKHar se pila phul bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.