aabaad viraniyan
vo dastakeñ
jo tumhārī poroñ ne in daroñ meñ uñDel dī haiñ
vo aaj bhī
in ke chob-reshoñ meñ jāgtī haiñ
tumhāre qadmoñ kī chaap
chup sā.atoñ meñ bhī
ek ek zarre meñ boltī hai
tumhāre lahje ke mīThe ghaao se
aaj bhī
mere ghar kā kuḌel chaTān-sīna chhanā huā hai
koī na jaane
ki hañste baste gharoñ ke andar bhī
ghar bane haiñ
jahāñ muqaffal haiñ biite lamhe
sabīh din
aur malīh rāteñ
ye vāqi.a hai
ki jo ilāqa tumhāre jalvoñ kī zad meñ aayā
ujaḌ gayā hai
ujaaḌ āñgan tumhārī pahchān haiñ
yahāñ
log ḳhud ko kaise shanāḳhteñge
wo dastaken
jo tumhaari poron ne in daron mein unDel di hain
wo aaj bhi
in ke chob-reshon mein jagti hain
tumhaare qadmon ki chap
chup saaton mein bhi
ek ek zarre mein bolti hai
tumhaare lahje ke miThe ghao se
aaj bhi
mere ghar ka kuDel chaTan-sina chhana hua hai
koi na jaane
ki hanste baste gharon ke andar bhi
ghar bane hain
jahan muqaffal hain bite lamhe
sabih din
aur malih raaten
ye waqia hai
ki jo ilaqa tumhaare jalwon ki zad mein aaya
ujaD gaya hai
ujaD aangan tumhaari pahchan hain
yahan
log KHud ko kaise shanaKHtenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.