aablon ki kirchen
bahut dinoñ ke ba.ad
is shahr meñ bhaTkā huā
būñdh būñdh bantā huā
mazbūtī se pakḌe hue muzmahil zaḳhm-ālūda ābloñ ko
chalā rahā thā apne kāñdhoñ par laade apne nañge sar ko
magar rāste ke vahshī hañgāmoñ ne mujhe toḌ Daalā
bhāgne ke saare rāste band
ḳhuun kā dabāo baḌhne lagā
tab mere haath se vo gaThrī gir paḌī
jise maiñ ne bahut sambhāl kar rakhā thā
aur mire paañv meñ kircheñ chubh ga.iiñ
bahut dinon ke baad
is shahr mein bhaTka hua
bundh bundh banta hua
mazbuti se pakDe hue muzmahil zaKHm-aluda aablon ko
chala raha tha apne kandhon par lade apne nange sar ko
magar raste ke wahshi hangamon ne mujhe toD Dala
bhagne ke sare raste band
KHun ka dabao baDhne laga
tab mere hath se wo gaThri gir paDi
jise main ne bahut sambhaal kar rakha tha
aur mere panw mein kirchen chubh gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.