aabu mein barsat
abr yuuñ chhā rahā hai aabū par
jaise pahrā ho dhundlī shāmoñ par
yā ki aa.eñ nazar siyah saa.e
larzāñ larzāñ bilaurī jāmoñ par
ye ghaTā chhā rahī hai sāvan kī
zulf bikhrī hai yā tire ruḳh par
bādaloñ meñ chamaktī hai bijlī
hañsī phūTī hai yā tire ruḳh par
girtī hai bādaloñ se yuuñ būñdeñ
jām-e-labrez juuñ chhalaktā hai
jhūmte haiñ havā se yuuñ ashjār
riñd pī pī ke juuñ bahaktā hai
sabza phūTā hai ye pahāḌoñ par
yā koī narm pairahan hai ye
hai ye rañg-e-bahār zeb-e-nazar
sabz joḌe kī yā phaban hai ye
jhiil se yuuñ lipaT gayā kohrā
bachcha ik maañ se juuñ lipaT jaa.e
yā ki bichhḌī huī sī doshīza
aa ke āġhosh meñ simaT jaa.e
chiir ke bādaloñ ko ek kiran
daf.atan jhiil par thirak jaa.e
jis tarah ik urūs-e-nau kā kahīñ
ruḳh se āñchal kabhī sarak jaa.e
duur kohsār meñ ye girte hue
saaz bajte haiñ ābshāroñ ke
qahqahe jaise nuqra.ī se kahīñ
guuñj uThte haiñ māh-pāroñ ke
kaale ujle se tairte bādal
jhiil kī sat.h par chamakte haiñ
naqsh jis tarah rañj-o-rāhat ke
dil ke ā.īne meñ jhalakte haiñ
ThanDī ThanDī havā ke jhoñkoñ meñ
yuuñ mirā iztirāb kho jaa.e
jaise rotā bisūrta bachcha
god meñ maañ kī thak ke so jaa.e
ek chanchal havā ke jhoñke se
sat.h-e-hamvār-e-āb hil jaa.e
jaise bād-e-sabā kī jumbish se
ġhuncha-e-nīm-bāz khil jaa.e
guuñj kar jaise nai-navāz kī nai
shab kā sannāTā toḌ detī hai
yūñhī so.e hue mire dil ko
yaad koī jhiñjhoḌ detī hai
jhāñk kar bādaloñ kī or se yuuñ
jhiil par chāñd thartharātā hai
jaise maazī ke dhuñdlakoñ se kahīñ
ik hasīñ chehra muskurātā hai
abr yun chha raha hai aabu par
jaise pahra ho dhundli shamon par
ya ki aaen nazar siyah sae
larzan larzan bilauri jamon par
ye ghaTa chha rahi hai sawan ki
zulf bikhri hai ya tere ruKH par
baadalon mein chamakti hai bijli
hansi phuTi hai ya tere ruKH par
girti hai baadalon se yun bunden
jam-e-labrez jun chhalakta hai
jhumte hain hawa se yun ashjar
rind pi pi ke jun bahakta hai
sabza phuTa hai ye pahaDon par
ya koi narm pairahan hai ye
hai ye rang-e-bahaar zeb-e-nazar
sabz joDe ki ya phaban hai ye
jhil se yun lipaT gaya kohra
bachcha ek man se jun lipaT jae
ya ki bichhDi hui si doshiza
aa ke aaghosh mein simaT jae
chir ke baadalon ko ek kiran
dafatan jhil par thirak jae
jis tarah ek urus-e-nau ka kahin
ruKH se aanchal kabhi sarak jae
dur kohsar mein ye girte hue
saz bajte hain aabshaaron ke
qahqahe jaise nuqrai se kahin
gunj uThte hain mah-paron ke
kale ujle se tairte baadal
jhil ki sath par chamakte hain
naqsh jis tarah ranj-o-rahat ke
dil ke aaine mein jhalakte hain
ThanDi ThanDi hawa ke jhonkon mein
yun mera iztirab kho jae
jaise rota bisurta bachcha
god mein man ki thak ke so jae
ek chanchal hawa ke jhonke se
sath-e-hamwar-e-ab hil jae
jaise baad-e-saba ki jumbish se
ghuncha-e-nim-baz khil jae
gunj kar jaise nai-nawaz ki nai
shab ka sannaTa toD deti hai
yunhi soe hue mere dil ko
yaad koi jhinjhoD deti hai
jhank kar baadalon ki or se yun
jhil par chand thartharaata hai
jaise mazi ke dhundlakon se kahin
ek hasin chehra muskuraata hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 91)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.