aachanak mar jaane wale log
maut ek aham kaam hai
ise yaksū ho kar karnā chāhiye
yā saare kaam nimTā kar
kisī kārobārī saude se pahle
intiḳhābī muhim ke daurān
aur nazm ke vast meñ
maut nahīñ aanī chāhiye
maut se pahle
irāde puure kar lene chāhiyeñ
unheñ dariyā meñ pheñk denā chāhiye
yā unheñ vasiyyat meñ likh denā chāhiye
aisā karne vaale
udaas ho kar marte haiñ
aur un kī maut
utnī afsosnāk nahīñ hotī
jitnī un kī
jo maut se pahle apne kaam nahīñ nimTāte
aur hairān ho kar mar jaate haiñ
maut ek aham kaam hai
ise yaksu ho kar karna chahiye
ya sare kaam nimTa kar
kisi karobari saude se pahle
intiKHabi muhim ke dauran
aur nazm ke wast mein
maut nahin aani chahiye
maut se pahle
irade pure kar lene chahiyen
unhen dariya mein phenk dena chahiye
ya unhen wasiyyat mein likh dena chahiye
aisa karne wale
udas ho kar marte hain
aur un ki maut
utni afsosnak nahin hoti
jitni un ki
jo maut se pahle apne kaam nahin nimTate
aur hairan ho kar mar jate hain
- Book : mamnu.u mausamon ki kitab (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.