saañs lenā bhī kaisī aadat hai
jiye jaanā bhī kyā rivāyat hai
koī aahaT nahīñ badan meñ kahīñ
koī saaya nahīñ hai ā.ankhoñ meñ
paañv behis haiñ chalte jaate haiñ
ik safar hai jo bahtā rahtā hai
kitne barsoñ se kitnī sadiyoñ se
jiye jaate haiñ jiye jaate haiñ
ādateñ bhī ajiib hotī haiñ
sans lena bhi kaisi aadat hai
jiye jaana bhi kya riwayat hai
koi aahaT nahin badan mein kahin
koi saya nahin hai aaankhon mein
panw behis hain chalte jate hain
ek safar hai jo bahta rahta hai
kitne barson se kitni sadiyon se
jiye jate hain jiye jate hain
aadaten bhi ajib hoti hain
- Book : Pukhraj (Pg. 81)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa Publications India Pvt. (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.