aadat
muddatoñ maiñ ik andhe kueñ meñ asiir
sar paTaktā rahā giḌgiḌātā rahā
raushnī chāhiye، chāñdnī chāhiye، zindagī chāhiye
raushnī pyaar kii, chāñdnī yaar kii, zindagī daar kī
apnī āvāz suntā rahā raat din
dhīre dhīre yaqīñ dil ko aatā rahā
suune sansār meñ
bevafā yaar meñ
dāmn-e-dār meñ
raushnī bhī nahīñ
chāñdnī bhī nahīñ
zindagī bhī nahīñ
zindagī ek raat
vāhima kā.enāt
aadmī be-bisāt
log kotāh-qad
shahr shahr-e-hasad
gaañv in se bhī bad
in añdheroñ ne jab piis Daalā mujhe
phir achānak kueñ ne uchhālā mujhe
apne siine se bāhar nikālā mujhe
saikḌoñ misr the sāmne
saikḌoñ us ke bāzār the
ek būḌhī zuleḳhā nahīñ
jaane kitne ḳharīdār the
baḌhtā jaatā thā yūsuf kā mol
log bikne ko tayyār the
khul ga.e mah-jabīnoñ ke sar
reshmī chādareñ haT ga.iiñ
palkeñ jhapkīñ na nazreñ jhukīñ
marmarīñ uñgliyāñ kaT ga.iiñ
haath dāman tak aayā koī
dhajjiyāñ duur tak baT ga.iiñ
maiñ ne Dar ke lagā dī kueñ meñ chhalāñg
sar paTakne lagā phir isī karb se
phir isī dard se giḌgiḌāne lagā
raushnī chāhiye chāñdnī chāhiye zindagī chāhiye
muddaton main ek andhe kuen mein asir
sar paTakta raha giDgiData raha
raushni chahiye، chandni chahiye، zindagi chahiye
raushni pyar ki, chandni yar ki, zindagi dar ki
apni aawaz sunta raha raat din
dhire dhire yaqin dil ko aata raha
sune sansar mein
bewafa yar mein
damn-e-dar mein
raushni bhi nahin
chandni bhi nahin
zindagi bhi nahin
zindagi ek raat
wahima kaenat
aadmi be-bisat
log kotah-qad
shahr shahr-e-hasad
ganw in se bhi bad
in andheron ne jab pis Dala mujhe
phir achanak kuen ne uchhaala mujhe
apne sine se bahar nikala mujhe
saikDon misr the samne
saikDon us ke bazar the
ek buDhi zuleKHa nahin
jaane kitne KHaridar the
baDhta jata tha yusuf ka mol
log bikne ko tayyar the
khul gae mah-jabinon ke sar
reshmi chadaren haT gain
palken jhapkin na nazren jhukin
marmarin ungliyan kaT gain
hath daman tak aaya koi
dhajjiyan dur tak baT gain
main ne Dar ke laga di kuen mein chhalang
sar paTakne laga phir isi karb se
phir isi dard se giDgiDane laga
raushni chahiye chandni chahiye zindagi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.