aadha aadmi
āsmānoñ se utrī
ajnabī maḳhlūq
yā ḳhud-kalāmī meñ
maiñ Duubī sadā-e-bā-gasht
hañstā gaatā
parinda āvāra
dahakte ḳhvāboñ meñ
jaltā paikar
yā adh-khule
darvāzoñ se jhāñktā
ma.asūm bālak
be-nām jazīroñ ke
andhe kuoñ se
nikalne kī koshish-e-nākām meñ
an-dekhe
hazār jugnuoñ
ke ta.āqub meñ dauḌtā
hāñptā kāñptā
aadhā aadmī
jo kabhī
apnā dil chiir ke
nadī ke bichhaḌte hue
do kināroñ par
dafn kar aaya thā
aur ab in donoñ
kināroñ par khaḌā
utartī būñdoñ ke mausam meñ
din chaḌhe
apne hī pighalte pinjar
kā istiqbāl kartā hai
aasmanon se utri
ajnabi maKHluq
ya KHud-kalami mein
main Dubi sada-e-ba-gasht
hansta gata
parinda aawara
dahakte KHwabon mein
jalta paikar
ya adh-khule
darwazon se jhankta
masum baalak
be-nam jaziron ke
andhe kuon se
nikalne ki koshish-e-nakaam mein
an-dekhe
hazar jugnuon
ke taaqub mein dauDta
hanpta kanpta
aadha aadmi
jo kabhi
apna dil chir ke
nadi ke bichhaDte hue
do kinaron par
dafn kar aaya tha
aur ab in donon
kinaron par khaDa
utarti bundon ke mausam mein
din chaDhe
apne hi pighalte pinjar
ka istiqbaal karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.