aadha-adhura shaKHs
hamārā roz kā ma.amūl thaa, sone se pahle
bāteñ karne aur jhagaḌne kā
gile-shikve ki jin meñ aglī pichhlī
saarī bāteñ yaad kar ke rote-dhote the
kabhī hañste bhī the to sirf kuchh lamhe
zarā sī der meñ vaisā hī jhagḌā aur vahī ta.ane
vahī sar pīTnā, aañsū bahānā, chīḳhnā, ronā
yūñhī rote hue ḳhvāboñ ke dozaḳh meñ
bhaTaknā, aur so jānā!
guzishta shab bhī kuchh aisī hī hālat thī
magar sone se pahle vo bahut hī tilmilāyā thā
kahā thā maiñ chalā jā.ūñgā lekin tum
faqat aadhe hī rah jāoge ik TuuTe khilaune se!
mujhe ġhaiz-o-ġhazab ne jaise pāgal kar diyā thā
dafa.a ho jaao! mirā tum se koī rishta nahīñ baaqī
maiñ ḳhvāboñ ke dahakte dozaḳhoñ se sub.h niklā to huuñ
lekin dekhtā kyā huuñ
ki vo ġhā.eb hai pichhlī raat se
mujh ko akelā chhoḌ kar jaane kahāñ anjān rāhoñ par
bhaTaktā phir rahā hogā
karūñ kyā maiñ? kahāñ DhūñDūñ use ab aisī hālat meñ?
mire ghar ke makīno, rishta-e-dāro, ai galī vaalo
mujhe yuuñ rassiyoñ se bāñdh kar
zehnī marīzoñ ke shifā-ḳhāne meñ mat bhejo
ki maiñ pāgal nahīñ huuñ, chīḳhtā, sar pīTtā to huuñ
magar maiñ chīḳh kar us ko bulātā huuñ
jo merā aadhā hissa hai
jo merā dūsrā maiñ hai
hamara roz ka mamul tha, sone se pahle
baaten karne aur jhagaDne ka
gile-shikwe ki jin mein agli pichhli
sari baaten yaad kar ke rote-dhote the
kabhi hanste bhi the to sirf kuchh lamhe
zara si der mein waisa hi jhagDa aur wahi tane
wahi sar piTna, aansu bahana, chiKHna, rona
yunhi rote hue KHwabon ke dozaKH mein
bhaTakna, aur so jaana!
guzishta shab bhi kuchh aisi hi haalat thi
magar sone se pahle wo bahut hi tilmilaya tha
kaha tha main chala jaunga lekin tum
faqat aadhe hi rah jaoge ek TuTe khilaune se!
mujhe ghaiz-o-ghazab ne jaise pagal kar diya tha
dafa ho jao! mera tum se koi rishta nahin baqi
main KHwabon ke dahakte dozaKHon se subh nikla to hun
lekin dekhta kya hun
ki wo ghaeb hai pichhli raat se
mujh ko akela chhoD kar jaane kahan anjaan rahon par
bhaTakta phir raha hoga
karun kya main? kahan DhunDun use ab aisi haalat mein?
mere ghar ke makino, rishta-e-daro, ai gali walo
mujhe yun rassiyon se bandh kar
zehni marizon ke shifa-KHane mein mat bhejo
ki main pagal nahin hun, chiKHta, sar piTta to hun
magar main chiKH kar us ko bulata hun
jo mera aadha hissa hai
jo mera dusra main hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.