aadha kamra
us ne itnī kitābeñ chaaT Dālīñ
ki us kī aurat ke pair kāġhaz kī tarah ho ga.e
vo roz kāġhaz pe apnā chehra likhtā aur ganda hotā
us kī aurat jo ḳhāmoshī kāḌhe baiThī thī
kāġhazoñ ke bhūñkne par sartre ke paas ga.ī
tum rambo aur freud se bhī mil aa.e ho kyā
saifū merī saifū mīrābā.ī kī tarah mat bolo
maiñ samajh ga.ī ab us kī āñkheñ
keats kī āñkheñ huī jaatī haiñ
maiñ jo sohnī kā ghaḌā uThā.e hue thī
apnā naam lailā batā chukī thī
maiñ ne kahā
lailā majme kī bāteñ mere sāmne mat dohrāyā karo
tanhā.ī bhī koī chiiz hotī hai
shakespeare ke Darāmoñ se chun chun kar us ne Thumke lagā.e
mujhe tanhā dekh kar
sārtar freud ke kamre meñ chalā gayā
vo apnī theory se gir gir paḌtā
maiñ samajh ga.ī us kī kitāb kitnī hai
lekin bahr haal sartre thā
aur kal ko majme meñ bhī milnā thā
maiñ ne bhiiḌ kī taraf ishāra kiyā to bolā
itne saare sātroñ se mil kar tumheñ kyā karnā hai
agar ziyāda zid kartī ho to apne vāris 'shāh'
hiir sayyāl ke kamroñ meñ chale chalte haiñ
sartre se isti.āra milte hī
maiñ ne ek tanqīdī nashist rakkhī
maiñ ne aadhā kamra bhī baḌī mushkil se hāsil kiyā thā
so pahle aadhe freud ko bulāyā
phir aadhe rambo ko bulāyā
aadhī aadhī baat pūchhnī shurūa kī
john Donne kyā kar rahā hai
second hand shā.iroñ se najāt chāhtā hai
choroñ se saḳht nālāñ hai
dāñte is vaqt kahāñ hai
vo jahannam se bhī farār ho chukā hai
us ko shub.ha thā
vo ḳhvāja-sarāoñ se ziyāda der muqābla nahīñ kar saktā
apne pas-manzar meñ
ek kuttā musalsal bhūñkne ke liye chhoḌ gayā hai
is kutte kī ḳhaslat kyā hai
biyatarche kī yaad meñ bhūñk rahā hai
tumhārā tasavvur kyā kahtā hai
sātroñ kī tasavvur ke lihāz se
ab us kā ruḳh go.eTe ke ghar kī taraf ho gayā hai
baaqī aadhe kamre meñ kyā ho rahā hai
laḌkiyāñ
kyā harf chun rahī haiñ
isti.āre ke lihāz se
harām ke bachche gin rahī haiñ
laḌkiyoñ ke naam qāfiye kī vaj.h se
sartre ziyāda nahīñ rakh pā rahā hai
is liye un kī ġhazal chhoTī paḌ rahī hai
zamīn ke lihāz se naqqād
apne kamroñ se ukhaḌne ke liye tayyār nahīñ
lekin unhoñ ne vaada kiyā hai
saare thinker ikaTThe hoñge
aur batā.eñge ki society kiyā hai
aur kyuuñ hai
vaise havāoñ kā kaam hai chalte phirte rahnā
dūr-andesh kī aañkh kaisī hai
cigarette ke kash se baḌī hai
vo ghaḌe se patthar nikāl kar gin rahe the
aur kah rahe the maiñ is ghaḌe kā baanī huuñ
chaa.e ke saath ġhībat ke cake
zarūrī hote haiñ
aur chuġhal-ḳhorī kī kitāb kā dībācha
har shaḳhs likhtā hai
zabānoñ meñ bujhe tīroñ se maqtūl zinda ho rahe haiñ
baḌā iblāġh hai
society ke chehre pe vo zabān chaltī hai
ki ek ek bande ke paas
kitāboñ kī riyāsat bande se ziyāda hai
riyāsat meñ
mahārāniyoñ ke qisse ghaḌne par
ilm kī baḌī miltī hai
bill ke sāda-kāġhaz par
ilm likh diyā jaatā hai
taaza daryāft par
har fard kī muTThī garm hotī hai
pahle ye batāo jhujhune kī tārīḳh-e-paidā.ish kyā hai
maiñ koī naqqād huuñ jo tārīḳh dohrātā phirūñ
kisī kā kalām paḌh lo
tārīḳh mālūm ho jā.egī
tumhārī āñkhoñ meñ aañsū
'mīr' kī kitāb kā dībācha likhnā hai
ye kis kī paTTī hai
naqqād bhaa.ī kī
ye kis kī aañkh hai
mujhe to saifū bhābhī kī mālūm ho rahī hai
aur ye haath
ġhālib kā lagtā hai
bakte ho
zar kī amaan pā.ūñ to batā.ūñ
jitne naam yaad the batā diye
lekin tumhārā tasavvur kyā kahtā
maiñ dum hilāne ke sivā kyā kar saktā huuñ
us ne itni kitaben chaT Dalin
ki us ki aurat ke pair kaghaz ki tarah ho gae
wo roz kaghaz pe apna chehra likhta aur ganda hota
us ki aurat jo KHamoshi kaDhe baiThi thi
kaghazon ke bhunkne par sartre ke pas gai
tum rambo aur freud se bhi mil aae ho kya
saifu meri saifu mirabai ki tarah mat bolo
main samajh gai ab us ki aankhen
keats ki aankhen hui jati hain
main jo sohni ka ghaDa uThae hue thi
apna nam laila bata chuki thi
main ne kaha
laila majme ki baaten mere samne mat dohraya karo
tanhai bhi koi chiz hoti hai
shakespeare ke Daramon se chun chun kar us ne Thumke lagae
mujhe tanha dekh kar
sartar freud ke kamre mein chala gaya
wo apni theory se gir gir paDta
main samajh gai us ki kitab kitni hai
lekin bahr haal sartre tha
aur kal ko majme mein bhi milna tha
main ne bhiD ki taraf ishaara kiya to bola
itne sare satron se mil kar tumhein kya karna hai
agar ziyaada zid karti ho to apne waris 'shah'
hir sayyal ke kamron mein chale chalte hain
sartre se istiara milte hi
main ne ek tanqidi nashist rakkhi
main ne aadha kamra bhi baDi mushkil se hasil kiya tha
so pahle aadhe freud ko bulaya
phir aadhe rambo ko bulaya
aadhi aadhi baat puchhni shurua ki
john Donne kya kar raha hai
second hand shairon se najat chahta hai
choron se saKHt nalan hai
dante is waqt kahan hai
wo jahannam se bhi farar ho chuka hai
us ko shubha tha
wo KHwaja-saraon se ziyaada der muqabla nahin kar sakta
apne pas-manzar mein
ek kutta musalsal bhunkne ke liye chhoD gaya hai
is kutte ki KHaslat kya hai
biyatarche ki yaad mein bhunk raha hai
tumhaara tasawwur kya kahta hai
satron ki tasawwur ke lihaz se
ab us ka ruKH goeTe ke ghar ki taraf ho gaya hai
baqi aadhe kamre mein kya ho raha hai
laDkiyan
kya harf chun rahi hain
istiare ke lihaz se
haram ke bachche gin rahi hain
laDkiyon ke nam qafiye ki wajh se
sartre ziyaada nahin rakh pa raha hai
is liye un ki ghazal chhoTi paD rahi hai
zamin ke lihaz se naqqad
apne kamron se ukhaDne ke liye tayyar nahin
lekin unhon ne wada kiya hai
sare thinker ikaTThe honge
aur bataenge ki society kiya hai
aur kyun hai
waise hawaon ka kaam hai chalte phirte rahna
dur-andesh ki aankh kaisi hai
cigarette ke kash se baDi hai
wo ghaDe se patthar nikal kar gin rahe the
aur kah rahe the main is ghaDe ka bani hun
chae ke sath ghibat ke cake
zaruri hote hain
aur chughal-KHori ki kitab ka dibacha
har shaKHs likhta hai
zabanon mein bujhe tiron se maqtul zinda ho rahe hain
baDa iblagh hai
society ke chehre pe wo zaban chalti hai
ki ek ek bande ke pas
kitabon ki riyasat bande se ziyaada hai
riyasat mein
mahaaraniyon ke qisse ghaDne par
ilm ki baDi milti hai
bill ke sada-kaghaz par
ilm likh diya jata hai
taza daryaft par
har fard ki muTThi garm hoti hai
pahle ye batao jhujhune ki tariKH-e-paidaish kya hai
main koi naqqad hun jo tariKH dohraata phirun
kisi ka kalam paDh lo
tariKH malum ho jaegi
tumhaari aankhon mein aansu
'mir' ki kitab ka dibacha likhna hai
ye kis ki paTTi hai
naqqad bhai ki
ye kis ki aankh hai
mujhe to saifu bhabhi ki malum ho rahi hai
aur ye hath
ghaalib ka lagta hai
bakte ho
zar ki aman paun to bataun
jitne nam yaad the bata diye
lekin tumhaara tasawwur kya kahta
main dum hilane ke siwa kya kar sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.