aadhi baat
puurī baat kahne kī kab mujhe ijāzat hai
puurī baat sunñe kī aap ko kyā zarūrat hai
aap ilm ke daa.ī
aap soch ke rahbar
aap hī mohabbat ke qā.ede banāte haiñ
aap hī rifāqat ke sab hunar batāte haiñ
aap ke tabassum ko maiñ ne gar kabhī khojā
pichhle kitne janmoñ ke ishq ke khañDar nikle
āñ-janāb ke saare
dard mo'atabar nikle
aap muskurāte haiñ muskurāte rahiye to
puurī baat kahne kī kab mujhe ijāzat hai
maiñ ki ek aurat huuñ
yā ki phir mohabbat huuñ
aadhī baat kahtī huuñ
puurā dukh uThātī huuñ
puri baat kahne ki kab mujhe ijazat hai
puri baat sunne ki aap ko kya zarurat hai
aap ilm ke dai
aap soch ke rahbar
aap hi mohabbat ke qaede banate hain
aap hi rifaqat ke sab hunar batate hain
aap ke tabassum ko main ne gar kabhi khoja
pichhle kitne janmon ke ishq ke khanDar nikle
aan-janab ke sare
dard mo'atabar nikle
aap muskuraate hain muskuraate rahiye to
puri baat kahne ki kab mujhe ijazat hai
main ki ek aurat hun
ya ki phir mohabbat hun
aadhi baat kahti hun
pura dukh uThati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.