aadhi sans ka pura dukh
tum kyā jaano
tum to aksar so jaatī ho
raat ke pichhle pahar daraḳhtoñ kī shāḳhoñ par
adh-roī āñkheñ ugtī haiñ
manzar manzar aadhe aañsū
puurā hone kī ḳhvāhish meñ
mar jaate haiñ
aadhī siskī ek mukammal hichkī banñe kī ummīd pe
adh-bolī āvāz se mil kar
chup ke puure shor se jab Takrātī hai to
āñkheñ TuuT ke bah jaatī haiñ
aadhī raat ke aadhe haath pe jab ā.īne ugte haiñ
kyā hotā hai
tum kyā jaano
chehroñ kī aadhī tasvīreñ
jismoñ kī aadhī dīvār se gir jaa.eñ to
aks adhūre rah jaate haiñ
aadhe bed par sone vaale
ḳhvāb kā dukh kyā hotā hai
vaqt kī aadhī unglī thaam ke chalne vaale
aadhe saañs kā puurā dukh
tum kyā jaano
tum to aksar so jaatī ho
tum kya jaano
tum to aksar so jati ho
raat ke pichhle pahar daraKHton ki shaKHon par
adh-roi aankhen ugti hain
manzar manzar aadhe aansu
pura hone ki KHwahish mein
mar jate hain
aadhi siski ek mukammal hichki banne ki ummid pe
adh-boli aawaz se mil kar
chup ke pure shor se jab Takraati hai to
aankhen TuT ke bah jati hain
aadhi raat ke aadhe hath pe jab aaine ugte hain
kya hota hai
tum kya jaano
chehron ki aadhi taswiren
jismon ki aadhi diwar se gir jaen to
aks adhure rah jate hain
aadhe bed par sone wale
KHwab ka dukh kya hota hai
waqt ki aadhi ungli tham ke chalne wale
aadhe sans ka pura dukh
tum kya jaano
tum to aksar so jati ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.