aadhi zindagi
āsmān kā ek hissa mere dekhne ke liye hai
aur zamīn kā ek hissa tumhāre chalne ke liye
sūraj tumhārī āñkhoñ se nikaltā aur chāñd
mere dil meñ Duub jaatā hai
samundar kā shor tumhāre dil meñ band hai aur
dariyā kī ḳhāmoshī merī āñkhoñ meñ
tum ek kashtī meñ safar kartī ho aur maiñ
us ke saath saath uḌne vaale bādal meñ
mujhe dīvār par baiThā huā safed kabūtar achchhā lagtā hai
aur tumheñ pinjre meñ qaid ek kaalī chiḌiyā
jo añdhere meñ bārish ke ba.ad
nikalne vaalī bair-bahoTiyoñ kī tarah surḳh ho jaatī hai
tumhārā dil granite se banā ek mor hai jo apne pairoñ ko dekh kar ro nahīñ saktā
aur merā dil miTTī meñ dhañsī huī ek bārūdī surañg
jo tumheñ rāste se guzartā dekh kar
dhamāke se TukḌe TukḌe honā bhuul jaatā hai
aasman ka ek hissa mere dekhne ke liye hai
aur zamin ka ek hissa tumhaare chalne ke liye
suraj tumhaari aankhon se nikalta aur chand
mere dil mein Dub jata hai
samundar ka shor tumhaare dil mein band hai aur
dariya ki KHamoshi meri aankhon mein
tum ek kashti mein safar karti ho aur main
us ke sath sath uDne wale baadal mein
mujhe diwar par baiTha hua safed kabutar achchha lagta hai
aur tumhein pinjre mein qaid ek kali chiDiya
jo andhere mein barish ke baad
nikalne wali bair-bahoTiyon ki tarah surKH ho jati hai
tumhaara dil granite se bana ek mor hai jo apne pairon ko dekh kar ro nahin sakta
aur mera dil miTTi mein dhansi hui ek barudi surang
jo tumhein raste se guzarta dekh kar
dhamake se TukDe TukDe hona bhul jata hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 488)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.