aadmi hun
log kyuuñ DhūñDeñ ḳhudā.ī mujh meñ
aadmī huuñ maiñ farishta to nahīñ
maiñ machaltā huuñ gharoñdoñ ke liye
ūñchī nīchī sī pasandoñ ke liye
jaanā an-jānā safar hai apnā
chand ḳhvāboñ kā nagar hai apnā
koī DhūñDe kyuuñ burā.ī mujh meñ
aadmī huuñ maiñ farishta to nahīñ
pairoñ meñ paḌtīñ kabhī zanjīreñ
phir kabhī tūfāñ baneñ tadbīreñ
TuuT jaatā huuñ kabhī do pal meñ
huuñ maiñ chaTTān kabhī mushkil meñ
koī DhūñDe kyuuñ safā.ī mujh meñ
aadmī huuñ maiñ farishta to nahīñ
log kyun DhunDen KHudai mujh mein
aadmi hun main farishta to nahin
main machalta hun gharondon ke liye
unchi nichi si pasandon ke liye
jaana an-jaana safar hai apna
chand KHwabon ka nagar hai apna
koi DhunDe kyun burai mujh mein
aadmi hun main farishta to nahin
pairon mein paDtin kabhi zanjiren
phir kabhi tufan banen tadbiren
TuT jata hun kabhi do pal mein
hun main chaTTan kabhi mushkil mein
koi DhunDe kyun safai mujh mein
aadmi hun main farishta to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.