aadmi
lā-intihā jahān-e-mujassam se bhī sivā
lā-muntahā zamānoñ meñ rahte hue ye abad
qarnoñ se reñgtī huī taqvīm-e-kā.enāt
āb-o-gil-o-shu.ūr sar-e-do-jahāñ adam
lā-falsafa nihāyat-e-fahm-e-payambarī
zauq-e-numū kī haath meñ rekhā.eñ dam-ba-dam
kyā jāniye ki kitne baras kā hai ye charāġh
tahzīb-e-soḳhta hai ayāġh-e-hurūf meñ
fikr o ḳhirad kī bahr o talātum meñ kashtiyāñ
ubhrīñ kahīñ to rizq-e-samundar kahīñ huiiñ
is ehtimām-e-ḳhvāb-e-tahayyur meñ maiñ nazhād
tanhā khaḌā huuñ apnī numā.ish ke vāste
maiñ bhiiḌ ke navāh meñ ma.adūm aadmī
la-intiha jahan-e-mujassam se bhi siwa
la-muntaha zamanon mein rahte hue ye abad
qarnon se rengti hui taqwim-e-kaenat
aab-o-gil-o-shuur sar-e-do-jahan adam
la-falsafa nihayat-e-fahm-e-payambari
zauq-e-numu ki hath mein rekhaen dam-ba-dam
kya jaaniye ki kitne baras ka hai ye charagh
tahzib-e-soKHta hai ayagh-e-huruf mein
fikr o KHirad ki bahr o talatum mein kashtiyan
ubhrin kahin to rizq-e-samundar kahin huin
is ehtimam-e-KHwab-e-tahayyur mein main nazhad
tanha khaDa hun apni numaish ke waste
main bhiD ke nawah mein madum aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.