aadmi
jis kī luġhat meñ aaj nahīñ hai clerk hai
kal aao jis kā maslak-e-dīñ hai clerk hai
har-dam jo yūñhī chīñ-ba-jabīñ hai clerk hai
routine kā jo mard-e-amīñ hai clerk hai
par husn-e-ittifāq se ye bhī hai aadmī
chehre pe in ke dubkī huī ek raat hai
in ke liye ye hāsil-e-kul-kā.enāt hai
is se ziyāda lutf kī ye vārdāt hai
ai dil magar ye kaan meñ kahne kī baat hai
dāḌhī baḌhā rahe haiñ so haiñ vo bhī aadmī
shahr-e-nujūm un kī hī tafrīh-gāh hai
mahtāb kī parī pe bhī un kī nigāh hai
muflis haiñ aur chāñd sitāroñ kī chaah hai
kis darja ḳhasta-hāl haiñ hālat gavāh hai
shā.ir haiñ in se miliye ki haiñ ye bhī aadmī
in ko na lift sher kī devī ne dī kabhī
milne ga.e jo ye to vo parde meñ jā chhupī
allah re in kī dast-darāzī kī barhamī
saaḌī adab kī saat jagah se hai phaaḌ dī
naqqād in ko kahte haiñ ye bhī haiñ aadmī
jis ki lughat mein aaj nahin hai clerk hai
kal aao jis ka maslak-e-din hai clerk hai
har-dam jo yunhi chin-ba-jabin hai clerk hai
routine ka jo mard-e-amin hai clerk hai
par husn-e-ittifaq se ye bhi hai aadmi
chehre pe in ke dubki hui ek raat hai
in ke liye ye hasil-e-kul-kaenat hai
is se ziyaada lutf ki ye wardat hai
ai dil magar ye kan mein kahne ki baat hai
daDhi baDha rahe hain so hain wo bhi aadmi
shahr-e-nujum un ki hi tafrih-gah hai
mahtab ki pari pe bhi un ki nigah hai
muflis hain aur chand sitaron ki chah hai
kis darja KHasta-haal hain haalat gawah hai
shair hain in se miliye ki hain ye bhi aadmi
in ko na lift sher ki dewi ne di kabhi
milne gae jo ye to wo parde mein ja chhupi
allah re in ki dast-daraazi ki barhami
saDi adab ki sat jagah se hai phaD di
naqqad in ko kahte hain ye bhi hain aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.