aadmi ko kitna jina chahiye
aadmī ko kitnā jiinā chāhiye
do baras do-sau baras yā chand saal
baat agar jiine kī hai
vo bhī ḳhālī haath ḳhālī dil
ḳhvāboñ ke baġhair
to hazāroñ saal kā jiinā ho ki lamhoñ meñ marnā
ek sā
haañ agar hāthoñ meñ taare
dil meñ ummīdeñ haiñ
aur āñkhoñ meñ ḳhvāb
to phir ik pal kā bhī jiinā hai amar
ek din sadiyoñ barābar
ek ik lamhe kī apnī zindagī hai
aur har ik lamhe meñ poshīda
aisī an-ginat duniyā.eñ
jin meñ saañs lene vaale pāgal jānte haiñ
saañs kī qīmat hai kyā
zindagī karnā kise kahte haiñ
aur marnā hai kyā
jurm kyā hai
chīḳh aur inkār ke ma.anī haiñ kyā
aadmi ko kitna jina chahiye
do baras do-sau baras ya chand sal
baat agar jine ki hai
wo bhi KHali hath KHali dil
KHwabon ke baghair
to hazaron sal ka jina ho ki lamhon mein marna
ek sa
han agar hathon mein tare
dil mein ummiden hain
aur aankhon mein KHwab
to phir ek pal ka bhi jina hai amar
ek din sadiyon barabar
ek ek lamhe ki apni zindagi hai
aur har ek lamhe mein poshida
aisi an-ginat duniyaen
jin mein sans lene wale pagal jaante hain
sans ki qimat hai kya
zindagi karna kise kahte hain
aur marna hai kya
jurm kya hai
chiKH aur inkar ke mani hain kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.