aadmi
mujh ko mahsūr kiyā hai mirī āgāhī ne
maiñ na āfāq kā pāband na dīvāroñ kā
maiñ na shabnam kā parastār na añgāroñ kā
na ḳhalāoñ kā talabgār na sayyāroñ kā
zindagī dhuup kā maidān banī baiThī hai
apnā saaya bhī gurezāñ, tirā dāmāñ bhī ḳhafā
raat kā ruup bhī be-zār, charāġhāñ bhī ḳhafā
sub.h-e-hairāñ bhī ḳhafā, shām-e-harīfāñ bhī ḳhafā
ḳhud ko dekhā hai to is shakl se ḳhauf aatā hai
ek mub.ham sī sadā gumbad-e-aflāk meñ hai
tār-e-be-māya kisī dāman-e-sad-chāk meñ hai
ek chhoTī sī kiran mahr ke idrāk meñ hai
jaag ai ruuh kī azmat ki marī ḳhaak meñ hai
mujh ko mahsur kiya hai meri aagahi ne
main na aafaq ka paband na diwaron ka
main na shabnam ka parastar na angaron ka
na KHalaon ka talabgar na sayyaron ka
zindagi dhup ka maidan bani baiThi hai
apna saya bhi gurezan, tera daman bhi KHafa
raat ka rup bhi be-zar, charaghan bhi KHafa
subh-e-hairan bhi KHafa, sham-e-harifan bhi KHafa
KHud ko dekha hai to is shakl se KHauf aata hai
ek mubham si sada gumbad-e-aflak mein hai
tar-e-be-maya kisi daman-e-sad-chaak mein hai
ek chhoTi si kiran mahr ke idrak mein hai
jag ai ruh ki azmat ki mari KHak mein hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 17)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.