aadmi
thā kabhī ilm aadmī dil aadmī pyaar aadmī
āj-kal zar aadmī qasr aadmī car aadmī
kulbulātī bastiyāñ mushkil se do-chār aadmī
kitnā kamyāb aadmī hai kitnā bisyār aadmī
patlī gardan patle abrū patle lab patlī kamar
jitnā bīmār aadmī itnā trahdār aadmī
zindagī nīche kahīñ muñh dekhtī hī rah ga.ī
kitnā ūñchā le gayā jiine kā me.aar aadmī
umr bhar sahrā-navardī kī magar shādī na kī
qais dīvāna bhī thā kitnā samajhdār aadmī
dānish-o-hikmat kī saarī raushnī ke bāvajūd
kam hī miltā hai zamāne meñ kam-āzār aadmī
dil raheñ haiñ sauma-e-dastār rehn-e-mai-kada
thā zamīr 'ja.afarī' bhī ik mazedār aadmī
pahle kashtī Duub jaatī thī nazar ke sāmne
ab giregā bahr-e-oqiyānnūs ke baar aadmī
tha kabhi ilm aadmi dil aadmi pyar aadmi
aaj-kal zar aadmi qasr aadmi car aadmi
kulbulati bastiyan mushkil se do-chaar aadmi
kitna kamyab aadmi hai kitna bisyar aadmi
patli gardan patle abru patle lab patli kamar
jitna bimar aadmi itna trahdar aadmi
zindagi niche kahin munh dekhti hi rah gai
kitna uncha le gaya jine ka mear aadmi
umr bhar sahra-nawardi ki magar shadi na ki
qais diwana bhi tha kitna samajhdar aadmi
danish-o-hikmat ki sari raushni ke bawajud
kam hi milta hai zamane mein kam-azar aadmi
dil rahen hain sauma-e-dastar rehn-e-mai-kada
tha zamir 'jafari' bhi ek mazedar aadmi
pahle kashti Dub jati thi nazar ke samne
ab girega bahr-e-oqiyannus ke bar aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.