aae basant
shahr kī ā.ankhoñ kā matl.a saaf ho
to dil meñ utre Dhaak ke phūloñ kī aañch
shahr ke nathune khuleñ to mauja-e-bād-e-junūb
aam par bor aa chukā hai ye ḳhabar phailā.e
shahr ke kānoñ se nikleñ shor-o-ġhul ke DaaT
to chhue shah-e-rag ko koyal kī pukār
shahr kī jaañ se ġhubār-e-shahr kā bādal chhaTe
to havās-e-ḳhamsa kī nagrī meñ bhī aa.e basant
shahr ki aaankhon ka matla saf ho
to dil mein utre Dhak ke phulon ki aanch
shahr ke nathune khulen to mauja-e-baad-e-junub
aam par bor aa chuka hai ye KHabar phailae
shahr ke kanon se niklen shor-o-ghul ke DaT
to chhue shah-e-rag ko koyal ki pukar
shahr ki jaan se ghubar-e-shahr ka baadal chhaTe
to hawas-e-KHamsa ki nagri mein bhi aae basant
- Book : siip-volume-35 (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.