aag
sulagte hue
mīThe jazbāt
kī aag se jism
kuchh is tarah tap rahā hai
ki jī chāhtā hai nazar jo bhī aa.e
use apnī bāñhoñ meñ kuchh aise bheñchūñ
ki mere badan meñ samā jaa.e vo yuuñ
nazar tak na aa.e
haTā.ūñ jo bāñheñ
maiñ is ke gale se
to Dher ek miTTī kā
qadmoñ meñ pā.ūñ
sulagte hue
miThe jazbaat
ki aag se jism
kuchh is tarah tap raha hai
ki ji chahta hai nazar jo bhi aae
use apni banhon mein kuchh aise bhenchun
ki mere badan mein sama jae wo yun
nazar tak na aae
haTaun jo banhen
main is ke gale se
to Dher ek miTTi ka
qadmon mein paun
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 31)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.