aag ki kahaniyan
haañ ye sach hai
ki tum ne mujhe
aur use
aur phir use
aur āḳhir meñ use
bachā liyā
maiñ ik aag meñ thī
aur mere ba.ad vo bhī
aur phir vo bhī
aur āḳhir meñ vo bhī
sirf tum bāhar thiiñ
tum ne sab ko dekhā
ek ek kar ke
tum ne hameñ bachā liyā
phir ham ne apnī apnī aag kī kahāniyāñ sunā.īñ
aur tum ne sunīñ
ham ne muqābla kiyā
apnī apnī aag ke taqaddus kā
aur shiddat kā
aur tum se chāhā
munsifāna faisla
tum ne alag alag sab kā ḳhayāl rakhā
aur maiñ lauT ga.ī
apne adh-jale baaġh kī taraf
aur mere ba.ad vo bhī
aur phir vo bhī
aur āḳhir meñ vo bhī
aur koī nahīñ thā
jab ik aag ne
tumheñ jalā diyā
han ye sach hai
ki tum ne mujhe
aur use
aur phir use
aur aaKHir mein use
bacha liya
main ek aag mein thi
aur mere baad wo bhi
aur phir wo bhi
aur aaKHir mein wo bhi
sirf tum bahar thin
tum ne sab ko dekha
ek ek kar ke
tum ne hamein bacha liya
phir hum ne apni apni aag ki kahaniyan sunain
aur tum ne sunin
hum ne muqabla kiya
apni apni aag ke taqaddus ka
aur shiddat ka
aur tum se chaha
munsifana faisla
tum ne alag alag sab ka KHayal rakha
aur main lauT gai
apne adh-jale bagh ki taraf
aur mere baad wo bhi
aur phir wo bhi
aur aaKHir mein wo bhi
aur koi nahin tha
jab ek aag ne
tumhein jala diya
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 544)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.