aaghaz
ik na.e daur kā āġhāz huā
dar-e-āshufta-sarī baaz huā
nā-shakebā.ī kī chaltī hai havā
be-yaqīnī kī ubhartī hai sadā
aa.e mañDlāte hue abr-e-shu.ūr
liye hamrāh ḳhayālāt-e-jasūr
muntazir shauq hai bechain niDhāl
jaane kab mausam-e-bārāñ aa.e
haa.e tabdili-e-mausam kī umiid
rang laa.e hai ba-tadrīj junūñ
TūTne vaalā hai har ek fusūñ
haañ ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī kā fusūñ
kaj-dimāġhoñ kī baḌā.ī kā fusūñ
aa na.e daur tujhe chuum to luuñ
ek nae daur ka aaghaz hua
dar-e-ashufta-sari baz hua
na-shakebai ki chalti hai hawa
be-yaqini ki ubharti hai sada
aae manDlate hue abr-e-shuur
liye hamrah KHayalat-e-jasur
muntazir shauq hai bechain niDhaal
jaane kab mausam-e-baran aae
hae tabdili-e-mausam ki umid
rang lae hai ba-tadrij junun
TuTne wala hai har ek fusun
han KHudaon ki KHudai ka fusun
kaj-dimaghon ki baDai ka fusun
aa nae daur tujhe chum to lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.