aaghaz
kin ḳhayālāt meñ yuuñ rahtī ho khoī khoī
chaa.e kā paanī patīlī meñ ubal jaatā hai
raakh ko haath lagātī ho to jal jaatā hai
ek bhī kaam salīqe se nahīñ ho paatā
ek bhī baat mohabbat se nahīñ kahtī ho
apnī har ek sahelī se ḳhafā rahtī ho
raat bhar nāvileñ paḌhtī ho na jaane kis kī
ek jampar nahīñ sī paa.ī ho kitne din se
bhaa.ī kā haath bhī ġhusse se jhaTak detī ho
mez par yuuñ hī kitāboñ ko paTak detī ho
kin ḳhayālāt meñ yuuñ rahtī ho khoī khoī
kin KHayalat mein yun rahti ho khoi khoi
chae ka pani patili mein ubal jata hai
rakh ko hath lagati ho to jal jata hai
ek bhi kaam saliqe se nahin ho pata
ek bhi baat mohabbat se nahin kahti ho
apni har ek saheli se KHafa rahti ho
raat bhar nawilen paDhti ho na jaane kis ki
ek jampar nahin si pai ho kitne din se
bhai ka hath bhi ghusse se jhaTak deti ho
mez par yun hi kitabon ko paTak deti ho
kin KHayalat mein yun rahti ho khoi khoi
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.