aagahi ki dua
ai ḳhudā ai ḳhudā
maiñ huuñ masrūf-e-tasbīh-o-hamd-o-sanā
go ba-zāhir ibādat kī aadat nahīñ hai
riñd-mashrab huuñ zohd-o-riyāzat se raġhbat nahīñ hai
magar jab bhī chaltā hai merā qalam
jab bhī khultī hai merī zabāñ
kuchh kahūñ kuchh likhūñ
terī taḳhlīq kā zamzama mudda.ā muntahā
harf juḌ kar baneñ lafz to karte haiñ terī hamd-o-sanā
yā ḳhudā yā ḳhudā
mere atrāf haiñ peT ḳhālī badan-e-nīm-jāñ
koī taktā hai jab merā dast-e-tahī
sharm aatī hai mujh ko ḳhudā-e-ġhanī
sochtā huuñ maiñ apnī zabāñ rehn rakh duuñ kahīñ
rizq se ḳhālī peToñ ko bhar duuñ
jo haiñ nīm-jāñ un meñ jaan phūñk duuñ
aur apne liye thoḌī āsā.isheñ mol le aa.uuñ bāzār se
apne bachchoñ kī zid puurī kar duuñ
jo vāqif nahīñ haiñ ma.īshat ke andāz-o-raftār se
phir yahī sochtā huuñ
ḳhudā ai ḳhudā
kyā zabāñ rehn ho kar bhī terī itā.at karegī
kyā qalam bik ke bhī naam terā hī legā
dūsroñ ko ḳhudā maan kar
vo na karne lageñ mā-sivā kī bhī hamd-o-sanā
ai ḳhudā ai ḳhudā hai duā
āḳhirī saañs tak
ye qalam ye zabāñ
likhte rahte haiñ lā-ilāha
ai KHuda ai KHuda
main hun masruf-e-tasbih-o-hamd-o-sana
go ba-zahir ibaadat ki aadat nahin hai
rind-mashrab hun zohd-o-riyazat se raghbat nahin hai
magar jab bhi chalta hai mera qalam
jab bhi khulti hai meri zaban
kuchh kahun kuchh likhun
teri taKHliq ka zamzama muddaa muntaha
harf juD kar banen lafz to karte hain teri hamd-o-sana
ya KHuda ya KHuda
mere atraf hain peT KHali badan-e-nim-jaan
koi takta hai jab mera dast-e-tahi
sharm aati hai mujh ko KHuda-e-ghani
sochta hun main apni zaban rehn rakh dun kahin
rizq se KHali peTon ko bhar dun
jo hain nim-jaan un mein jaan phunk dun
aur apne liye thoDi aasaishen mol le aaun bazar se
apne bachchon ki zid puri kar dun
jo waqif nahin hain maishat ke andaz-o-raftar se
phir yahi sochta hun
KHuda ai KHuda
kya zaban rehn ho kar bhi teri itaat karegi
kya qalam bik ke bhi nam tera hi lega
dusron ko KHuda man kar
wo na karne lagen ma-siwa ki bhi hamd-o-sana
ai KHuda ai KHuda hai dua
aaKHiri sans tak
ye qalam ye zaban
likhte rahte hain la-ilaha
- Book : URDU-1983 (Pg. 176)
- Author : Nand Kishore Vikram
- Publication : Nand Kishore Vikram (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.