aagahi
mirī parvāz ūñchī hai
pahāḌoñ par
chaTTānoñ par
kahīñ to āsmānoñ par
fazā-e-be-karāñ kī vus.atoñ meñ hai mirī manzil
bahut hī māvarā haiñ us jahāñ se zehn ke haale
zamānoñ par lagā rakkhe haiñ maiñ ne soch ke taale
hudūd-e-lā-makāñ bhī gūñjtī hai mere nāloñ se
ki maiñ ne pā liyā idrāk ko saare havāloñ se
meri parwaz unchi hai
pahaDon par
chaTTanon par
kahin to aasmanon par
faza-e-be-karan ki wusaton mein hai meri manzil
bahut hi mawara hain us jahan se zehn ke haale
zamanon par laga rakkhe hain main ne soch ke tale
hudud-e-la-makan bhi gunjti hai mere nalon se
ki main ne pa liya idrak ko sare hawalon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.