aage mat socho
sunte ho ik baar vahāñ phir ho aao
ek baar phir us kī chaukhaT par jaao
darvāze par dhīre dhīre dastak do
jab vo sāmne aa.e to parnām karo
maiñ kuchh bhuul gayā huuñ shāyad us se kaho
kyā bhūlā huuñ yaad nahīñ aatā kah do
us se pūchho ''kyā tum batlā saktī ho''
vo hañs de to kah do jo kahnā chāho
aur ḳhafā ho jaa.e to aage mat socho
sunte ho ek bar wahan phir ho aao
ek bar phir us ki chaukhaT par jao
darwaze par dhire dhire dastak do
jab wo samne aae to parnam karo
main kuchh bhul gaya hun shayad us se kaho
kya bhula hun yaad nahin aata kah do
us se puchho kya tum batla sakti ho
wo hans de to kah do jo kahna chaho
aur KHafa ho jae to aage mat socho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.