aahang-e-nau
ai javānān-e-vatan ruuh javāñ hai to uTho
aañkh us mahshar-e-nau kī nigarāñ hai to uTho
ḳhauf-e-be-hurmatī-o-fikr-e-ziyāñ hai to uTho
pās-e-nāmūs-e-nigrān-e-jahāñ hai to uTho
uTho naqqāra-e-aflāk bajā do uTh kar
ek so.e hue aalam ko jagā do uTh kar
ek ik samt se shab-ḳhūn kī tayyārī hai
lutf kā va.ada hai aur mashq-e-jafā-kārī hai
mahfil-e-zīst pe farmān-e-qazā jaarī hai
shahr to shahr hai gaañv pe bhī bambārī hai
ye fazā meñ jo garajte hue tayyāre haiñ
barsar-e-dosh-e-havā maut ke harkāre haiñ
is taraf hāthoñ meñ shamshīreñ hī shamshīreñ haiñ
us taraf zehn meñ tadbīreñ hī tadbīreñ haiñ
zulm par zulm haiñ tāzīroñ pe ta.azīreñ haiñ
sar pe talvār hai aur paañv meñ zanjīreñ haiñ
ek ho ek ki hañgāma-e-mahshar hai yahī
arsa-e-zīst kā hangāma-e-akbar hai yahī
apnī sarhad pe jo aġhyār chale aate haiñ
sho.ala-afshāñ o sharar-bār chale aate haiñ
ḳhuun piite hue sarshār chale aate haiñ
tum jo uTh jaao to be-kār chale aate haiñ
ḳhuuñ jo bah niklā hai us ḳhuuñ meñ bahā do un ko
un kī khodī huī ḳhandaq meñ girā do un ko
rañg-e-gul-hā-e-gulistān-e-vatan tum se hai
sorish-e-na.ara-e-rindān-e-vatan tum se hai
nashsha-e-nargis-e-ḳhūbān-e-vatan tum se hai
iffat-e-māh-e-jabīnān-e-vatan tum se hai
tum ho ġhairat ke amiiñ tum ho sharāfat ke amiiñ
aur ye ḳhatre meñ haiñ ehsās tumheñ hai ki nahīñ
ye darinde ye sharāfat ke purāne dushman
tum ki ho hāmil-e-ādāb-o-rivāyāt-e-kuhan
jāda-paimā ke liye ḳhizr ho tum ye rahzan
tum ho ḳhirman ke nigahbān ye barq-e-ḳhirman
ḳhitta-e-pāk meñ zinhār na aane paa.eñ
aa hī jaa.eñ jo ye zinda to na jaane paa.eñ
mard-o-zan pīr-o-javāñ in ke mazālim ke shikār
ḳhūn-e-ma.asūm meñ Duubī huī in kī talvār
ye qayāmat ke havasnāk ġhazab ke ḳhūñ-ḳhār
in ke isyāñ kī na had hai na jarā.em kā shumār
ye tarahhum se na dekheñge kisī kī jānib
in kī topoñ ke dahan kar do unhī kī jānib
ye to haiñ fitna-e-bedār dabā do in ko
ye miTā deñge tamaddun ko miTā do in ko
phūñk do in ko jhulas do ki jilā do in ko
shān-e-shāyān-e-vatan ho ye batā do in ko
yaad hai tum ko kin aslāf kī tum yādeñ ho
tum to ḳhālid ke pisar bhiim kī aulādeñ ho
tum to tanhā bhī nahīñ ho ka.ī dam-sāz bhī haiñ
ruus ke mard bhī haiñ chiin ke jāñ-bāz bhī haiñ
kuchh na kuchh saath farañgī ke fusūñ-sāz bhī haiñ
aur ham jaise bahut zamzama-pardāz bhī haiñ
duur insān ke sar se ye musībat kar do
aag dozaḳh kī bujhā do ise jannat kar do
ai jawanan-e-watan ruh jawan hai to uTho
aankh us mahshar-e-nau ki nigaran hai to uTho
KHauf-e-be-hurmati-o-fikr-e-ziyan hai to uTho
pas-e-namus-e-nigran-e-jahan hai to uTho
uTho naqqara-e-aflak baja do uTh kar
ek soe hue aalam ko jaga do uTh kar
ek ek samt se shab-KHun ki tayyari hai
lutf ka wada hai aur mashq-e-jafa-kari hai
mahfil-e-zist pe farman-e-qaza jari hai
shahr to shahr hai ganw pe bhi bambari hai
ye faza mein jo garajte hue tayyare hain
barsar-e-dosh-e-hawa maut ke harkare hain
is taraf hathon mein shamshiren hi shamshiren hain
us taraf zehn mein tadbiren hi tadbiren hain
zulm par zulm hain taziron pe taziren hain
sar pe talwar hai aur panw mein zanjiren hain
ek ho ek ki hangama-e-mahshar hai yahi
arsa-e-zist ka hangama-e-akbar hai yahi
apni sarhad pe jo aghyar chale aate hain
shoala-afshan o sharar-bar chale aate hain
KHun pite hue sarshaar chale aate hain
tum jo uTh jao to be-kar chale aate hain
KHun jo bah nikla hai us KHun mein baha do un ko
un ki khodi hui KHandaq mein gira do un ko
rang-e-gul-ha-e-gulistan-e-watan tum se hai
sorish-e-nara-e-rindan-e-watan tum se hai
nashsha-e-nargis-e-KHuban-e-watan tum se hai
iffat-e-mah-e-jabinan-e-watan tum se hai
tum ho ghairat ke amin tum ho sharafat ke amin
aur ye KHatre mein hain ehsas tumhein hai ki nahin
ye darinde ye sharafat ke purane dushman
tum ki ho hamil-e-adab-o-riwayat-e-kuhan
jada-paima ke liye KHizr ho tum ye rahzan
tum ho KHirman ke nigahban ye barq-e-KHirman
KHitta-e-pak mein zinhaar na aane paen
aa hi jaen jo ye zinda to na jaane paen
mard-o-zan pir-o-jawan in ke mazalim ke shikar
KHun-e-masum mein Dubi hui in ki talwar
ye qayamat ke hawasnak ghazab ke KHun-KHar
in ke isyan ki na had hai na jaraem ka shumar
ye tarahhum se na dekhenge kisi ki jaanib
in ki topon ke dahan kar do unhi ki jaanib
ye to hain fitna-e-bedar daba do in ko
ye miTa denge tamaddun ko miTa do in ko
phunk do in ko jhulas do ki jila do in ko
shan-e-shayan-e-watan ho ye bata do in ko
yaad hai tum ko kin aslaf ki tum yaaden ho
tum to KHalid ke pisar bhim ki auladen ho
tum to tanha bhi nahin ho kai dam-saz bhi hain
rus ke mard bhi hain chin ke jaan-baz bhi hain
kuchh na kuchh sath farangi ke fusun-saz bhi hain
aur hum jaise bahut zamzama-pardaz bhi hain
dur insan ke sar se ye musibat kar do
aag dozaKH ki bujha do ise jannat kar do
- Book : Aahang (Pg. 145)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.