aahaT
bosīda sī TaaT ke pīchhe
kachchī sī ik jhoñpaḌiyā meñ
barfīlī sī shaam utrī hai
tanhā.ī kā pallū thāme
sahmī sahmī kuchh becheñ sī
vo kone meñ simTī hai
Tiin kī chhat pe
ghuñghrū bāñdhe chhan chhan kartī
vahshat meñ dīvāna-vār
bārish nāchtī phirtī hai
duur kahīñ bādal kī garaj meñ
ik mānūs sī aahaT hai
jis kī giilī sargoshī se
har sū chhā.ī vīrānī ke
kaale bādal chhaTte haiñ
saare saa.e Dhalte haiñ
bosida si TaT ke pichhe
kachchi si ek jhonpaDiya mein
barfili si sham utri hai
tanhai ka pallu thame
sahmi sahmi kuchh bechen si
wo kone mein simTi hai
Tin ki chhat pe
ghunghru bandhe chhan chhan karti
wahshat mein diwana-war
barish nachti phirti hai
dur kahin baadal ki garaj mein
ek manus si aahaT hai
jis ki gili sargoshi se
har su chhai virani ke
kale baadal chhaTte hain
sare sae Dhalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.