aahaTen
guzar rahe haiñ mirī zindagī ke shaam o sahar
ginūñgā baiThā huā daana daana har saa.at
sadā lagātī gadāyāna shaam aa.ī thī
ye koī dar na khulā
na kuchh javāb milā
niDhāl dubkī huī so rahī hai kone meñ
dharā hai kyā mirī jholī meñ āhaToñ ke sivā
yahī hai zād-e-safar
yahī mirī sauġhāt
kisī ko duuñ bhī to koī bhalā na ho us kā
jo saath qabr meñ le jā.ūñ to malāl na ho
har ek gaam pe lekin ye saath aa.ī haiñ
yahāñ maiñ ḳhud nahīñ pahuñchā ye mujh ko laa.ī haiñ
guzar rahe hain meri zindagi ke sham o sahar
ginunga baiTha hua dana dana har saat
sada lagati gadayana sham aai thi
ye koi dar na khula
na kuchh jawab mila
niDhaal dubki hui so rahi hai kone mein
dhara hai kya meri jholi mein aahaTon ke siwa
yahi hai zad-e-safar
yahi meri saughat
kisi ko dun bhi to koi bhala na ho us ka
jo sath qabr mein le jaun to malal na ho
har ek gam pe lekin ye sath aai hain
yahan main KHud nahin pahuncha ye mujh ko lai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.